
Originally Posted by
primitive
Mashallah

aap kay khayalat main bari jan hay
mazeed mashq say or pukhtagi aay gi
kahin kahin wazan ka masla hay
magar jald hi alfaz ka ulat phair seekh lain gi
meri nacheez raey main last shair kuch youn hota to ziada behtar hota
katain gi kis tarah yeh musafatain manzil ki
keh raah hay khatan or hamsafar koi nahin
umeed hay aap is choti c tanqeed ka bura nahin mainain gi
kush rahain or likhti raian
Jazak ALLAH Khair.
Actually, na he meri Urdu pukhta hai aur na he mein nay Urdu study ki hai as a course. Yeh tou bus poetry partey partey he ulta seedha likh leti hoon.
Sach pochein tou mein ghazal aur nazam kay beech sahi say abhi distinguish bhi nahi ker sakti.
koshish karoon gi kay sahi say seekh sako!

Originally Posted by
Bheegi-Palkain
Assalam-o-Alikum WR WB
Wah ! Hijab bhot umda ... khushee hui k adbi zok bhi hay aap mai ... aur prime nay jo neshandagi ki hay us ko qabool kary
FeamnAllah

Walekam-Aslam!
Jazak ALLAH!
"Mein tanqeed aur tareef dono qabool karti hoon"
It's my FIRST priority, by the way!!