Results 1 to 3 of 3

Thread: Jahez AiK Masla

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,444
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Thanked
    1732
    Rep Power
    21474978

    candel Jahez AiK Masla

    Asalam.o.Alaikum

    " Humne Tu Saf Mana Kardiya Hai.Hamain Jahez wahez Nahi Chahye..Leken Phir bhi jo Dai Gai apni beti ko dai gai..humne kaun sa istemal karna hai "

    Yeh jumla aksur sunne main or pahrne main ata hai.

    Aik tarah se yeh jumla sahe bhi hia or aik taarah se is jumley main lalach bhi nazar arahe hai.main khud yehe kehti hon ke jo dena hai apni beti ko dena hia.leken mere dil mai lalach nahi hia..main khud ko dekhon tu bhaiou ki shadiyan hue ..mujhe koi intrest nahi ke bhabhi kia laye kiya nahi..yaqen karain ke main inke room main jati tak nahi..mujhe nahi pasand yeh sub baaatian.


    Topic tu samaj ahe chuka hoga sub ko...


    Hamare Mashrey main burh churh ker jahez dena aik rasm bun chuka hia or shadi se kuch din phele is jahez ki numaish bhi Farzon main shamil hochuki hia..jahez tu de diya jata hai leken bad main maa baap ki qarzey utarte umar beet jati hia..kuch log sood leker yeh kaam karte hian..jante hue ke Sood hamare liye kiya hai..hamare haan beti paida hote he is baat ki fikr lag jati hia ke jahez kaise bane ga..or agar aik se dosri beti hojaye tu kha jata hai lo jee baap ki tu kamar he toat gaye..larka hojata tu sahara tu banta.yeh aise jumley hain jo roz marha ki zindagi main kano se takratey hain..ya tv chanel per sunne main ajate hian.

    Hamare Mashey Main Sirf jahez na hone ki waja se kuch larkiou ki shadiyan masla bun jati hian..kum jahez lane wale larkiou ko susral wale taney dai dai ker inka jeena dobhur kardete hain.



    Sub Jante Hain ..Ke Hamare Piyarey Nabi Ne Jo Ke Dono jahano Ke Sardar Hain.inho ne apni beti ko chund gharelo Ashya K ilawa jahez main Kuch nahi diya...halakey tu duniya ki her chez de sakte the.


    baz log tu lambi lambi lists leker ajate hain.


    Ayaian Kuch is masley per discussion karain.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    6,287
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    337 Thread(s)
    Thanked
    5
    Rep Power
    21474858

    Default Re: Jahez AiK Masla

    hmmmm

    sahi kaha hai Aapo.....loog muqbla shoro ker daty hain k flaa nay family may itna dia apni beti ko to hum nay itna dena hy....us nay flaa cheez dee to humay bhi deni peray gi .......

    sirf dosro k agay nmaish krnay k liye apni zindghi mushkil may daal li jati hy ....

    shaadi ki sab say buri rsaam hi mujhay jhaiz ki nmaish lgti hy .... inthai hi fazool rasam hy

    ager is say mnaa kia to answer aya k loog kia khaye gay k beti ko kuch dia nahi ya is qabil nhi tha k dhikaya jaye.....

    or waqi loog itni baaty sunaty hain k jeena mushkil ho jata hy parents ka....

    kuch loog yeh galat kaam kerty hain or bhugtna poray mashray ko perta hai .....

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    21474877

    Default Re: Jahez AiK Masla

    appo yeh sab kuch aisay insaan k life main rach bas gaya hai keh...ais k bagir guzra nahi hai ab


    dekhien ik gareeb admi hai..apni beti ko kuch nahi de sakta....lakin sari umer k tano say bachnay k liye or apni beti ko khush dekhnay k liye..wo apna ap bechnay ko tayar ho jata hai....coz logon ki baaton say dar lagta hai usay....usay apni beti ki khushi k liye aisa kerna he perta hai..nahi karay ga tu sari umer khud bhi zaleel ho ga or us ki beti b zaleel ho gi......


    so yeh tu ab hamari zindgiyon ka ik hisa ban gaya hai na....ais maslay say kabhi chutkara nahi mil sakta....
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - Jahez AiK Masla

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •