Hogya kaaam tumam
shabrati jaaan ka azaaab hai >
Asslam-o-alaikum
July k competition ki polling k sath hazir hun...:queen:
is bar ap logon ne
" Barsaat "
is se related shairy share karni thi /nail
ye rahi sab ki sharingriter:
jo ap ko achi lagay,usy vote cast kijiye :sweet:
Important note:- :rose:
khud ko vote nai de saktay..:no:
Last date 28th july hai..:stylish:
Winner decide karne k liye ap k votes 50% tak ki ehmiyat rakhte hain baqi 50% Adminz(Naz,Sheem) decide Karein gay :friends:
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
sooni
Tum Ne Barishon Ko Mehz Barastay dekha Hai,
Maine Aksar Barishon Ko Kuch Kehtay Suntay Dekha Hai,
Tum Dekhtay Ho Barishon Ki Jal Thal Har Saal,
Maine Barsaat Ko Bar Ha palkon Pe Machaltay Dekha Hai,
Kaise Mangon Phir Barasta Sawan Apnay RAB Se,
K In Aankhon ne Bastiyon Ko Sawan Mein Ujartay Dekha Hai,
Seekh Gaye Hum Baarishon Ko Apnay Andar Utarnay Ka Fun,
Aur Phir Sab Ne Humein Har Pal Har Dam Hanstay Dekha Hai......!!!!
maliha farhan
آج ہماری آنکھوں سے پھر اشکوں کی برسات ہوئ
گھر آئ پھر سے تاریکی جیون میں پھر رات ہوئ
ہم کو تو جس جس نے دیکھا بولا پاگل دیوانہ
عشق ہمارا پیشہ ٹھہرا عاشقی اپنی ذات ہوئ
بکھری تیرے پیار کی خوشبو جونہی ہم نے موندی آنکھیں
ہوتے ہوتے نیند ہماری یادوں کی بارات ہوئ
ہم سے بھی رکھتے ہو رشتہ فکر بھی تم کو اوروں کی
چاہت میں بھی دنیا داری خود سوچو کیا بات ہوئ
سپنے جیتے آنکھیں ہاریں دل جیتا اور دھڑکن ہارے
بازی اپنے ہاتھ میں تھی پر من مرضی سے بات ہوئ
ڈال دئیے دریا میں گھوڑے آگ لگا دی کشتی کو
ہاتھ میں جس کے سورج قسمت اس کی ساتھ ہوئ
ραкєєzα~
aseer-e-waswasa kyon ho
watan ke roz-o-shab se
kis liye baizaar ho itnay
tumhari aankh me kyon
beghari ke khwaab raqsaan hai
nigahon main ye har lamha
wo mehfil kis liye aakhir
jahan ki roshni
pehchaan hum se cheen layti hai
rugon mein akhir
kyoon khauf ka aalam hai iss darja
fiza-e-bayyaqeeni
kyon utar aai hai sansoun mein
abhi to apni mitti main 'namo' ka wasf zinda hai
abhi jharnay salamat hain
abhi darya mein pani hai
abhi jheelain nahi sokhein
abhi jungle nahi ujray
fizaon me abhi tak
badalon ka aana jana hai
hawaon me nami ka silsala
taa-der hai qaim
abhi tak fasl-e-gul ka daman-e-shadaab hai baqi
abhi tak qatra-e-shabnam ki aab-o-taab hai baqi
humaray naam ke daanay
ugga kartay hain kheitoun mein
humari sar zameen ki...
phool se nisbat abhi tak hai
abhi tak titlian perwaaz karti hain gulistan mein
haraarat zindagi ki
barf ne ab tak nahi chheeni
sulagtay mehr ne
barsaat ka mausam nahi cheena
abhi sehraoun ke afreet se
mehfooz hain darya
abhi nakhl-e-tamana ki
hari shaakhein salamat hain
abhi qadmoun ke neechay
maa sift
mitti ki hiddat hai
mere bhai!
tum is sachai se aagah tu ho ge
Parinday aisay mausam me
kabhi hijrat nahi kartay!!!
Seven Tiles
Koi Eahad Bhi Usko Yaad Nahi
Koi Baat Be Usko Yaad Nahi
Ek Shaks Ne Usko Chaha Tha
Wo Zaat Be Usko Yaad Nahi
Jab Shab Ki Bijli Chamki Thi
Or Badal Toot Ke Barsa Tha
Ham Done Jis Mein Bheegay The
Wo Barsat Bhi Usko Yaad Nahi
Woh Sahil Dariya Phool Hawa
Woh Wada Sath Nibhanay Ka
Or Shab Bhar Chand Ko Dekha Tha
Woh Raat Bhi Us Ko Yaad Nahi
Wo Kehta Tha Main Sunti Thi
Main Kehti Tha Wo Sunta Tha
Un Lahkon Baaton Mein Koi Aik
Baat Bhi Usko Yaad Nahi
Zindagi
Basanti Sur Main Kuchh To Gaaiye Barsaat Ke Din Hain
Suhaane Geet Phir Duhraaiye Barssat Ke Din Hain
Bohat Soona Hai Shehr-E Dil Bohat Afsurda Raahen Hain
Mere Is Shehr Mein Ruk Jaaiye Barsaat Ke Din Hain
Bohat Hai Muntazir Yeh Dil Kisi Nazr-E Inayat Ka
Bohat Is Dil Ko Mat Tarsaaiye Barsaat Ke Din Hain
Jahaan Ab Bhool Kar Bhi Mehrbaan Koi Naheen Aata
Wahaan Lutf-O-Karam Farmaaiye Barsaat Ke Din Hain
Jahaan Ham Chandni Raaton Mein Tishna Kaam Rehte Hain
Wahaan Gardish Mein Saagar Laaiye Barsaat Ke Din Hain
Hamen Daar-O-Rasan Ke Pech-O-Kham Fursat Nahin Dete
Yeh Gesoo Aap Hi Suljhaaiye Barsaat Ke Din Hain
Faraz Ab Ho Chukeen Sab Khwahishen Un Se Munajaaten
Ab Apne Dil Ko Khud Bahlaaiye Barsaat Ke Din Hain
Usman219
Is Barish Se Mujhe Pyar Hai Bohat,
Meri Tanhaiyon Ka Ise Abhaas Hai Bohat,
Jab-Jab Ye Barish Aayi Mujhse Milne,
Chehre Pe Ashq Hote Thhe Mere………,
Meri Tanhai Samajh Gayi Thhi Yeh,
Hamesha Saath Mere Roti Rahi Yeh,
Maine Kaha Tum Jao, Mujhe Akele Rehne Do,
Is Par Wo Boli, Mujhe Bhi Apne Saath Rone Do,
Phir Na Wo Kuch Boli, Na Main Kuch Boli,
Gumsum Roti Rahi Main Akeli………,
Jab Jab Wo Aati, Muhe Issi Haal Me Paati,
Main Bhi Usse Ankhe Na Thhi Mila Paati,
Aaj Phir Bohat Din Baad Ye Barish Aayi,
Aur Aaj Usne Mere Honthon Pe Hansi Payi,
Khush Ho Gayi…..Tej Baras Padi……….,
Mere Saath Woh Bhi Khil khila kar Hans Padi,
Maine Poocha Tum Kyon Hans Rahi Ho Aaj,
Usne Kaha Meri Dost Jo Khush Hai Aaj….,
Phir Ansoo Jhalak Pade Meri Ankho Se,
Par Is Baar Khushiyon Ki Chamak Thhi In Ankho Me,
Phir Maine Use Sab Kuch Bataya,
Dil Ka Kissa Usko Sunaya………….,
Bohat Khush Hui Wo Sab Kuch Sun Kar,
Phir Chali Bhi Gayi Duayein De Kar,
Wada Liya Maine Usse Phir Jaldi Aane Ka,
Use Har Baat Dil Ki Batane Ka…..,
Phir Maine Socha Yahi To Hai Meri Saathi,
Mera Chehra Dekhkar Jo Hai Hansti-Roti.
captain planet
jo barish ki tamanna hai to in ankho me aa betho
wo barson mein kahen barsen, ye barson sy barasti hen
Vampire
Yeh Adhoorapan,
Jaise Aadhi Kaali Raat,
Jaise Aadha Chand,
Jaise Bin Sooraj Kiran,
Jaise Bin Badal Barsaat,
Jaise Jungal Mein Tanha Hiran,
Jaise Beawaz Koyal,
Jaise Sookhi Kali,
Jaise Thehra Hua Paani,
Jaise Bin Paani Machhli,
Jaise Andha Raahi,
Jasie Bikhri Zulfein,
Jasie Dulhe Bin Baraat,
Aise Hi Tum Bin Main,
Aur Mera Ye Adhurapan..
zeeno
ham shaair say log bhi toba kitnay pagal hotay hain
khoie khoie rahtay hain ham jaise ghail hotay hain....
choti choti baton ko ham pahron sochtay rahtay hain
sath hamare jugno,phool or badal jaise hotay hain..
ham pardais main rahne vale yadon k sang rahtay hain
yad k jugnoo barsaton k badal jaise hotay hain...
ibne Adam Adam khor bana hay daikho shahron may
yahan bhi koch insan suna hay jungle jaise hotay hain
kal ik maan nay apna bacha chand sikon may baich dia
ghurbat k saie Asaibi daldel jaise hotay hain...........
kitni achi lagti hain ye larkiyan maan or baba ko..
in k saron pay sharm .o. haya k anchal jaise hotay hain
sajni baithi neer bahaie sajan kun pardais gaie...
ab naina to bhigay bhigay kajal jaise hotay hain....
magnum
BARSAAT k mosam,
Waqt k andhairon main,
Main ne us say pocha tha,
Chor to na jao gy,
Hath tham kr us ne,
Kan ma ye bola tha,
kaisey chor skta hoon,
Tum to Jan ho meri,
Aur ajj aisa hy,
Waqt ki tamazat main,
Wehshaton k mousam main,
Main ne us say pocha,
Chor k he jana tha,
Muskrati galiyon main,
Aas kiyn dilai thi,
Payas kiyn jagai thi,
mery in sawalon par,
Chalte chalte wo bola,
Mausam ki aadat hy,
Waqt per Badal Jana...!
jam786
بھری برسات میں، جس وقت آدھی رات کے بادل
سیہ پرچم اڑاتے ہیں، بُجھا کر چاند کی مشعل
مکاں کے بام ودر بجلی کی رو میں جب جھکتے ہیں
سُبک بوندوں سے دروازوں کے شیشے جب کھٹکتے ہیں
سیاہی اتنی چھا جاتی ہے جب ہستی کی محفل میں
تصور تک نہیں+رہتا سحر کا، رات کے دل میں
ستارے دفن ہو جاتے ہیں جب آغوشِ ظلمت میں
لپک اٹھتا ہے اک کوندا سا جب شاعر کی فطرت میں
معاً اک حور اس روزن میں آ کر مسکراتی ہے
اشاروں سے مجھے اپنی گھٹاؤن میں بلاتی ہے
lifeislove
Qaht Ab Para hai Tu Barsat se
Gazab Ka Guman hai tu Barkat se
Chaman Sair Karta tha sabh ko kabhi
Jo Bhokh ab barhi hai tu bagat se
Hai barood se ab tu kayame aman
Dhamkei Hui ab tu zaraat se
Hai sochon mai jo janbish yahan
Hain khali amal bash tu samrat se
Ye Dushman jo musalman baham hua
Hai Mula ki Sazish tu ish bat se
Muqadar ki shabh hai ya atish kada
Muqadas hai Aag ab tu shabrat se
Kiya hai Khird ka mukam ab yahan
Ghazal bhi faqat ab jazbat se
Ye Roshan se chehre tu makkar hain
Umeed ab jo hai bash zulmat se
Gharebon ko banaya kis ne ghareeb
Ye Aqida khule ab tu sukraat se
Hai asan nahi inqilab ish qadar
Pakke ge fasal ab okaat(time) se
Hai paigham salman ka bash ye ghazal
Ke aga ho khalk ab tu halat se
๓เรђคคl
Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai ....
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai ....
Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho ....
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai ....
Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey ....
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai ....
Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas ....
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai ....
Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi ....
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai ….
![]()
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ
Hogya kaaam tumam
shabrati jaaan ka azaaab hai >
Last edited by pakeeza; 21-07-2012 at 11:30 AM.
o ho sub ki e sharing kamal hai
n kuch mje bot pasand ay hen par kia kroon kis ku doon vote![]()
at last cast ma vote![]()
![]()
![]()
I want to give two votes..
bt alas..!!
YOU INTOXICATE ME WITH THE FRAGRANCE OF YOUR SOULFUL LOVE..
YOUR MAGICAL TOUCH MAKES MY SOUL STIR INSIDE MY BODY..
YOU ARE MY SOLACE.. !!
Walaikumusalam
hum ne b vote de diya hai![]()
voted......
Hum kya hain
Hmari Muhabatayn kya hain
kya chahtay hain
kya patay hain..
-Umera Ahmad (Peer-e-Kamil)
![]()
JAZAK ALLAh
voted...
Alhamdullilah
Done.