๓เรђคคl
Khawab ! !
khawab aur khawahishon ka bhi kia taalmail hai na?
Khawab palkon pe apni sej sajaney lagtey hain aur khawahishein arzoo ban kar un mein machalney lagti hain,hasil inka kuch bhi nahiin hota bikher jate hain toot kar boond bond ho ker,koi us takleef ka bhi mudawa kar paya hai?jese koi anjaan weeran si tanha raat ug ayi hoon.har sapney mein mein wehshat hi wehshat,phool tu phir aap hi mar jatey hain,khawahishein chup ki chaddar orh leti hain ..aur khawab..khawab ankhein moond lete hain..kayee zamano ke liye..
maliha farhan
خواب اور خواہشیں تو لڑکپن کی حدود میں قدم رکھتے ہی ہماری آنکھوں میں سما جاتے ہیں ہم لڑکیوں کا یہی تو سرمایہ ہے خواب دیکھنا اور اُن کی خواہش کرنا۔لیکن بھلا ہم جیسی لڑکیوں کے خواب بھی کبھی پورے ہوۓ ہیں ؟اور کیا کبھی خواہشوں کی تکمیل ہو پائ ہے؟
بھلا سب لڑکیوں کے مشترکہ خواب اور خواہش کیا ہے؟ چاہے جانا اور سراہے جانا اپنے گھر کا خواب اور اُس کے تکمیل کی خواہش لیکن ۔۔۔۔۔۔۔۔لیکن ہم جیسی لڑکیوں کے خواب پورے نہیں ہوتے زیادہ تر تو بس خواب دیکھتے دیکھتے آنکھیں ہی بند ہو جاتی ہیں ۔
ہم جیسی لڑکیاں جو خوبصورت نہیں ہیں جن کے پاس دینے کو جہیز نہیں ہے ۔ جن کی غلطی سے شادی ہو جاے تو سسرال والوں کی مطالبات پورے کرنے کی اوقات نہیں ہے ۔
ہر دفعہ امید کا دامن تھامتے تھامتے جب روح میں زخم پڑنے لگے تو اچانک مجھے آگہی مل گئ اللہ نے میرا ذہن بدل دیا اور میں نے اُس لاحاصل خواب اور خواہش کا پیچھا چھوڑ دیا اب تو میرا ایک ہی خواب اور خواہش ہے اپنے اللہ کا قرب حاصل کر لوں جس نے اللہ کو پالیا اُس کا قُرب حاصل کر لیا اس کے سارے خوابوں اور خواہشوں کو زندگانی مل گئ۔ یا رب العالمین اپنے نبیﷺ کے صدقے میں مجھے اور مجھ جیسی لڑکیوں کو اپنا قرب عطا کر دے ہمیں اپنا بنا لے یہ دنیا ہم جیسی لڑکیوں کے لیے نہیں پروردگار تو ہی ہے جو ہمارے اس خواب اور خواہش کی تکمیل کر سکتا ہے۔ یا اللہ ہم پر اپنا کرم فرما رحم فرما اور سب کو ہدایت دے آمین۔
lifeislove
Meri Zindagi mai Khuwab aur khawahishein sirf aik insan se mansob the jo ab ish dunya mai nahi raha.Ush ko Chahna bhi mere bash mai nahi tha aur ab bhool pana bhi namumkin hai.Darhaqeqat ush ki yadeein aur ahsash itna shaded tha tabhi to aj bhi zinda hai.Ye wo ahsash hai jo har subah Soraj ki tarah pure abo tab se chamakta hai.tu har raat chodwein ke chand ki taraha roshan hota hai.Jab raat ko mai takh ke soo jata hoon to wo kabhi kabhi kisi raat bageer ijazat ke mere khuwab mai ati hai aur ik shama se jala jati hai mai jalne ke khofh ko bala taq rakhte hoie aik parwana ki tarah ush ke pass jata hoon hum derhon batein karte hain khobh khuwab sajate hain jin mai hazaron khawahishein hoti hain aur jin ke puri hone ke aas mai akhir kar sohani sohani subah namodar hoti hai mai dunya ka mamlat mai lag jata hoon magar mere soch mai sirf wo hoti hai ush ka ahsash khusbo ki tarah mere roh mai basha hua hota hai.Mere Zindagi lamha lamha apne iktitam ki taraf gamzan hai magar mere khuwab aur khawahishein aj bhi ush marhom ke marne ke bad bhi zinda hain .humhare khuwabon aur un se mansoob khawahishein ke ahsash ne mere zindagi ko haseen banaya hua hai.Ush se mere Lazawal Chahat ki wajah se mere khawab aj bhi purkashish hain aur mere khawahishein kisi haseen dosheza ki tarah jawan hain.Allah Ush Marhoom Ki Maghfirat farmaye aur Humhare Mohabat ko Hamesha Zinda rakhe (Ameen)
ραкєєzα~
![]()
![]()
kabhi kabhi aisa hota ha na k jo khawab aapki zindagi hotey hain wohi khawab azaab ban jatey hain insan b kitna khudgharz ha na apni khawahish apni khushi k liye apni hi aankhoun ko dukh deta ha or aankhein kitni masoom hoti hain na jo humari khawahish k liye humari khushi k liye aisey khawab dekh leti hain jo k la hasil hotey hain or la hasil ki justuju la hasil ki khawahish insan ko tor phhor kr rakh deti hai phir kuch soojhta nahi ha us takleef us dard ka eik hi hal nazar aata ha
Suno!!!
meri aankhein khareedo gey
Mujey Eik khawab ka
Tawaan bharna ha ...
agar aisey tawan bhra ja sakey to phir b kuch mushkil nahi jis dard jis aziiyat se hum guzrtey hain us k liye shaid hum kisi had tak b ja saktey hain lkn kia krein in aankhoun mein jab chamak hoti hai to hazaroun sodagar hotey hain lkn jaisey hi in mein wairani utr'ti hai yeh sunsaan hoti hain to sab tajir apni apni raahein badal letey hain aakhir yeh ghaatey ka soda koun karey !!!!!
![]()
![]()