kuch aisi baat thi tum me k hum bhula na sake
tumhare bad kisi se bhi dil laga na sake
tumhai to mil gya dil ka makeen lakeen hum
khud apne aap ko khone se bacha na sake
jo meri aankh me aansoo the sab ne dekh liye
jigar k ghao kisi ko b hum dekha na sake
wo kaisa waqt tha hum jis me pehroon sochte the
kyun in lakeeron me hathon ki tum sama na sake
ik aur zindagi hum phr khuda se mangein ge
agar hayat e majood me tum ko paa na sake
jo dil ki batein thi dil me hi reh gyi dafan
tumhai waqt na mila hum kabhi suna na sake
tha meri jaan ye aalam nazay ko aise me
tum ik lamhe ko milne b mujh se a na sake
wo hum se pochne aye hain bad mudat k
kyun un ko chah kar b hum bhula na sake
wo jin k waste ro ro k zindagi kati
hamari maut pe do ashk b baha na sake
hamare bad sitm kis pe aur dahao ge
karo ge kya jo agar khud ko hum bacha na sake
hum apne aihad me jaan se guzr gye lakeen
tum ik wada e wafa ko b nibha na sake
bhula de un ka har ik khayal dil se tu nazi
wo kam zarf the jo meri qadar pa na sake