bachpan ka zamana hota tha
khushion ka khazana hota tha
chahat chand ko pane ki
dil titli ka dewana hota tha
rone ki waja na hoti thi
hansne ka bahana hota tha
khabar na thi kuch subhon ki
na shamon ka thikana hota tha
gum ki zuban na hoti thi
na zakhmon ka pemana hota tha
barish me kagaz ki kashti
har mausam suhana hota tha
wo khel wo sathi hote the
aur har rishta nibhana hota tha
bachpan b kya suhana tha friends ab college me to apni school life hi yaad ati hai start ki jab without kisi tension hote the