๓เรђคคl
depend karta hai ke apki feeling kitni strong hain ?
Mohabbat jahan hoti hai khudshaat bhi wahan hote hain mein samajhti hoon mohabbat halaat pe qaboo paa leti hai;lekin agar relation mein mohabbat na ho tu he or she definately shak ki adekhi aag mein jalte hai;khud bhi pareshaan rehte hain aur apne partner ko bhi pareshaan karte hain ;is liye yeh buhut zarori hai ke mian biwi ke rishte mein mohabbat ka hona..aur shak jesi buri bala se bachne ki koshish kerni chahiye takay aise halaat hi pedaa na hon...
*miss TiP tOp*
salam
its purely depend on true love between husband and wife

kyun ke jab sula ho jati hy tu mostaly itne jagry ke baad muhabt bhar jati hy kyun ke us ke baad ehsas ho jata hy ke hum apny gusy main kiya kerny ja rahe the hamesha ke leye alag hone
umera ahmad ny apny ak naval main ye baat likhi
ke jab ap kisi sy muhabbt kerty ho tu dil main ak qabristan bana lo jis main apny patner ki hamiyon ko dafan karo or us main tahty bi na lagao
so jagra jitni marzi shadeed noyat ho depand kerta hy ke ap maaf dil sy kerty hain ya nahi ager ture love ho ga tu zarror sab kuch pehle jesa ho jaye ga ya shayed pehle sy bi zada
bcz husband wife ka rishta ager kachi door ki tarhan hy tu dekha jyae tu is sy zada mazbot qaribi rishta koi nahi
maliha farhan
Bohat acha sawal hai jahan char bartan hotay hain woh to kharaktay hi hain to aisay hi mian bv main bhi aksar nok jhok larayi jhagra hota rehta hai halka phulka bhi serious bhi lekin Allah nay yeh rishta aisa banaya hai jitna bhi lar lo sulah honay k shyed ek adh din to narazgi rehti hai lekin phir sab bhool bhal jatay hain.
Shadi say pehlay main nay sunna tha ksi say mian Bv kay rishtay main gairat nahi hoti mujhy bara gussa aya sun kay k aisa kesay ho sakta hai lekin shadi kay baad mujhy yeh baat samjh aa gayi jee waqayi hi aisa hai yeh mera zaati tajurba hai kitni bhi bari baat kion na ho jaye ek pal to aisa lagay ga ab sath guzara nahi hona lekin jesay hi sulah hoi to bhool bhal gaye kay kabhi shadeed qisam ka jhagra bhi hoa tha aur mazay ki baat hai k dil bhi saaf hojata hai
amoman ksi doosray k liey aisi gunjaesh nahi nikalti jitni mian, bv k dil main ek doosray k liey hoti hai so mere zaati tajurbay kay mutabiq mian , bv kay larayi k after effects aur bhi achay hotay hain bht saray din zyada pyar say guzar jatay hain nayee larayi k liey
Vampire
shak bazaat e khud kuch b nahi hai. agar to apko apnay life partner k saath rehna hai to isko chorna paray ga .. aur agar isko nahi chor saktay to apnay life partner ko chor dain.. kiun k yeh dono cheezain saath rehnay k liye nahi bani phir b agar in dono ko saath rakhna chahain to bohat badmazgiyaan paida hojati hain.
larayiaan hoti hain jhagray hotay hain hatta k itnay shaddeed b hojatay hain k baray buzurg us main aa k sula karwatay hain .. baray buzurgon ko chahiye k woh sulah aisey karwayen k shak , nafrat etc rahay hi na ...
main to yehi kehna chahonga k insaan ko is muamlay main bachon ki tarha rehna chahiye k sulah ho jaye to sab bhoola dena chahiye aur phir se wohi respect wohi mohabbat us rishtay ko deni chahiye
~*Rano*~
hmm asal main hai tu yeh ik fact kitna b ap kaho keh nai aisa nai sab pehlay jesa hai sab sahi hai..lakin insaani nature hai k jab ik insaan buri tarha hurt hota hai us ik insaan se jo ap ko jaan se barh ker azeez hai tu....jab wo ap ka bharosa thorta hai ya kisi b cheez se us ko hurt kerta hai tu..jab wo dobara akthay hotay hain tu...buht sari baatien automatically zehan main rehti hain..beshak k kitna b payar ho....coz wo wohi insaan tu hota hai...jis k waday kasamien acha waqt sab ap ko yaad hota hai...tu phir baat b yahi hoti hai k ap us ko faramosh karo un pehlay ki baaton ko ya ais ko jo howa....ais liye appo i ll say k
dobara sab theek ho jata hai maaf b insaan ker deta hai....payar muhbbat b hota hai...lakin naturally...dil se nikalta nikalta sab tym lagata hai....ap us ko dil main kahin chupa tu letay ho..lakin i dont think so k hemsha k liye bhool jatay ho....
shak nai keh saktay ais ko k shak reh jata hai...lakin insecurity bhar jati hai..k ik dafa ho sakta tu phir b ho sakta..ya dobara b aisa ker sakta hai yeh....
thts wot i think....