
Originally Posted by
Gul
Salam,kya hal hain. naz jab dil main insaniyat na rah na tu koi bhi rishta kyun na ho insan uski kadar nahi karta.masla hai aj kal ka har kesi nay aik dosray ko time pass samjha hai jabhi us say koi behtar milta hai tu dosray ko choor k us k sath chalay jatay hain.ye nahi samjhti kin waqt main os insan nay sath diya.tumhain esqbil banaya k dosray insan ka samna kar sako.masla hai insan yehi samjhta hai k us nay hamsha zinda rahna hai.jis din os pay moot ki haqiqat ayaan hogi tab wo samjh sakay ga.phir waqt hi kahan rahayga.dunya sirf itmehaan ghaa hai agar yahan kuch boo gay tu marnay k baad us ka sila milay ga.wasay jo insan khuda say jo mangta hai khuda daita hai.koi dunya mangta hai tu khuda har cheez dunya ki us ka agay rakh daita hai.par akhriat main wo khail haath hota hai.jo yahan parshani main zindagi muflisi main zindagi guzarta hai parwardigar os ko wahan itna daita hai k wo anzada nahi laga sakta.pas yehi umeed karta hon k insan es madhooshi k hisaar say nikal jay tab jakay samjh aye ga k maqsaday hayaat kiya hai.shayd jabhi risthoon insan ki kadar samjh sakay warna nahi.khair parwardigaar kesi kesi ko hi tofeeq daita hai un k diloon main muhabbat dalta hai dosroon ki.jabhi tu kehtay hain kahin na kahin insaniyat aj bhi zinda hogi.jo mukhlis hoga pardigaar Masoomein k bataye howay rastay par chalay ga os k dushman bhi zada hongay.kyun k haad ko koi bardasht nahi kartna.parshan na ho dair say shayad hum samhaal jain.AMEEN SUMMA AMEEEN.