~*~Sitara ban ke rehna..~*~
Chamaktey chaand ne mujh se kaha ik shab
Tumhain is kehkashan ka sab se roshan
Sab se tabinda sitara ban ke rehna hai
Tumhain ik be-karan gehrey samandar ka
Kinara ban ke rehna hai
Falak pe chand chamkey ya na chamkey
Tumhain is roshni ka istia'ara ban ke rehna hai
Baras guzrain hazaron ya fasana lamha bhar ka ho
Tumhain mere liye apna sahara ban ke rehna hai
Karain ge roshni barson hazaron deep
Rahon main mohabbat ki
Tumhain meri mohabbat ka ishara ban ke rehna hai
Mere jazbon ki hiddat ka
Sharara ban ke rehna hai
Sitara ban ke rehna hai
Farha Iqbal