
Originally Posted by
Đŕeåmẹr
Ab agar tum jesay banday kay sar main drd honay laga to oaron ka kiya haal hoga?
bilkul sahee madday ko istamaal kiya hay tum nay..lafz bnanay ka saath yehan tumhen usi tarkeeb say maainay bhi likhnay hain..zaroori nahi hay kay nazar say guzra ho..laikin agar tum chaho to lafz bana saktay ho is tarkeeb kay sath..arabi lughat kay butabiq maainy yehi banin gay...
qaleeb arabi hi ka lafz hay,arabi main purnay kunway ko qaleeb kahtay hain..ab ye kay qaleeb kay maaine kunway kay kiyoN banay?
qalb kay kam az kam Aath maainey to mujhay bhi yaad aarahy hain.. darmiyan,dil,pani ka chashma,foaj ka wo hissa jis ki qiyadat badshah ye sipaah salaar karay.ghazal ka khaas share,or bhi mainay hain...
ham yehan maino pr bahs nahi karain gay,wrna baat kaheen say kaheen janiklay gi...
madday kay istamaal ka jo tareeqa bataya hay,usay zahn nasheen karain..or sar e dast unhi mainon pr ghoar karain,mazeed lafzon ki talash krtay rahain,maza aaiy ga..
qaleeb ko agar ham bay intihaa dermiyaan wala kay mainon main istamaal karain to krsaktay hain,hamaray pas sanad moajood hay..
maqsoom bilkul wesay hi hay jesay ma,soom hay...ye alag baat hay kay maqsoon hamary haan raaij nahi huwa..laikin maqsoom kay maainey yehi hongay kay jis ki qasam uthaae gai...
madday pr or mashq kero..tum nay bilkul durust istamaal kiye hain...shabash