ASLAAM O ALEKUM,
chand ultey seedhey alfaaz,nazam ki soorat haazir hain,bardaasht kijiye ga,
aor apni aara dena bilkul naheen bhooliye ga,
bahot khush rahiye,
wah bohat hi zaberdast
kiya baat hai maza agaya parh k![]()
mohbbat tum nahi karna
yeh apnay bas mein shayed nahi hota
aapki iss zaberdast c peom nay humein dukhi kar diya![]()
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
kiya khoob lafzon ka jaado jagaya hay yaar jaani!lagta hay jesay kisi musawwir nay apnay bursh say,nihayet nazakt say mohabbat naam ki haseena kay nain naqsh banaiy hain,,nazm hay goya naqsha gari hay...mery pas daad kay liye alfaaz naheen...bas itn akhon ga kay ye nazm naheen balkay aik tasweer us haseena ki jis ka naam mohabbt hay!![]()
ab kaya kahoon Zubair,tum ne to mujhey Aasamaan pe la bithaaya hai,aor main soch raha hoon ke neechey kesey utrooN,.....seeRhi to tum saath hi le gaye ho,
is qadar khuley dil se aor purkhaloos pazeerayi ke liye be had mamnoon hoon,
yeh sab tum jesey doston ki muhabbat ka samar hai,jo mujhey mil raha hai,
bahot khush raho,![]()
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
intibah......pekar...ranjour...mojab......aazaar............ paimber..tairgi..........pehlay in alfaaz ko hamein explain karein...zara detail mein!
and secondly............hon gay yeh ultay seedhay alfaaz.....lekin hein laajwab
superbly written!