wah bohat hi zaberdast
kiya baat hai maza agaya parh k![]()
wah bohat hi zaberdast
kiya baat hai maza agaya parh k![]()
mohbbat tum nahi karna
yeh apnay bas mein shayed nahi hota
aapki iss zaberdast c peom nay humein dukhi kar diya![]()
intibah......pekar...ranjour...mojab......aazaar............ paimber..tairgi..........pehlay in alfaaz ko hamein explain karein...zara detail mein!
and secondly............hon gay yeh ultay seedhay alfaaz.....lekin hein laajwab
superbly written!
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
sab se pehley to nazam ki pasandeedagi aor hosala afzaayi ke liye shukriya,
mujhey bahot achha laga ke aap ko jin alfaaz ki samajh naheen aayi,aap ne pooch liya,jab tak alfaaz ka matlab na pata ho,kissi bhi qisam ki shaairy maza naheen deti,aap ke is sawaal se aek baat to bahot waazeya huyi ke aap shaairy ko samajh kar parna chaahati hain,aor rasman wah wah naheen karti,jo ke bahot achhi baat hai,
alfaaz ka matlab kuchh yoon hai,......
intibah......khabardaar karna,ya hona, aagaahi,
pekar.....chehra,shakl,soorat,
ranjour...bimaar,afsurda,maghmoom,
mojab......sabab,baais,wajah....wesey...farz,waajib,waajib karney waala,laazim karney waala,..ke ma.anon main bhi istamaal hota hai,
aazaar......dukh,bimaari,marz,takleef,sakhti,
paimber....peghaam pohanchaaney waala,......******bar,ya nabbi bhi keh saktey hain,
tairgi........taareeki,andhera,sayaahi,
itna kaafi hai ya mazeed wazaahat ki zaroorat hai,.....agar mazeed zaroorat mehsoos karain to bila jhijhak poochh sakti hain,
bahot khush rahiye,![]()
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
kiya khoob lafzon ka jaado jagaya hay yaar jaani!lagta hay jesay kisi musawwir nay apnay bursh say,nihayet nazakt say mohabbat naam ki haseena kay nain naqsh banaiy hain,,nazm hay goya naqsha gari hay...mery pas daad kay liye alfaaz naheen...bas itn akhon ga kay ye nazm naheen balkay aik tasweer us haseena ki jis ka naam mohabbt hay!![]()