socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga Khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahi

socha tujhey dekha tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

ehsas ki khushbu kahan awaz ki justaju kahan
khamosh yadoon k siwa gher mai raha kuch bhi nahi