Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 15

Thread: Hansna Mat

  1. #1
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Hansna Mat

    Gher ke kamon se ghabra ker
    apni job se aajiz aa ker
    6 hafte ki chutti pa ker
    ker ke gher sunsaan gai hai
    biwi pakistan gai hai

    sone ke set banwaye gi
    shaan masale bhi laye gi
    suit bohut se silwaye gi
    silk ke le ke thaan gai hai
    biwi pakistan gai hai

    aish karon gi amma ke gher
    kaam karain ge noker chaker
    car main le jaye ga shofer
    le ke yeh arman gai hai
    biwi pakistan gai hai

    pannu main rehte hain aakil chacha
    changa manga main taya hai
    sab se mil ker ana hai
    bana ke sare plan gai hai
    biwi pakistan gai hai

    boli rehna ache soher
    dafter se seedhe ana gher
    jate jate haath main de
    biwi pakistan gai hai

    trah trah ke khane paka ker
    bher dala sara freazer
    take main na khaon bahir
    kerk ke poora etminan gai hai
    biwi pakistan gai hai

    ik din phone kiya us ke gher
    bole us ke mama asgher
    who to le ke sara tabber
    aaj subah hi multan gai hai
    biwi pakistan gai hai

    dhoop or germi se aa ker tang
    mela huwa jab us ka rang
    apni ik saheli ke sang
    wahan se kaghan gai hai
    biwi pakistan gai hai

    aati hai us ki email baraber
    kehti hai mujhe ko bhejo doller
    phas mushkil main jaan gai hai
    hoton ki mare muskan gai hai
    biwi pakistan gai hai

  2. #2
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    Zindagi honay lagi jub say basar yahoo per
    Roze karta hooN naya aik safar yahoo per

    Shaam takk rehti hai jaari tugg-o-dau rozi ki
    Aur phir raat say hoti hai sahar yahoo per

    Faaslay abb kahaN haayal rahay insaanoN mein
    Kar hi laitay haiN mulaaqat magar yahoo per

    Ilm ka aik samandar hai pyaasoN kay liay
    Dekh nadaaN koi ilzaam na dhar yahoo per

    Sirf dunya hi naheeN door khalaaoN tak kee
    Dhoondnay waaloN ko milti hai khabar yahoo per

    Yeh alag baat keh awaargiyaaN bhi haiN bohat
    PakRay jaanay ka bhee koi naheeN darr yahoo per

    Aisa lugta hai keh guzray ga buRhaapa kuch yooN
    Dhyaan maazee meiN kaheeN gum tau nazar yahoo per

  3. #3
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    Bohat hee khobsurat nazm ka aghaz kerte hain
    Yeh larke kion apna waqt berbaad kerte hain

    Zara samjha kero hum ko, zara alfaaz wapis lo
    Kay sharif zaadey kahan, kab, aisi baat kartay hain

    Kissi se “luv u” kehte hain kissi se “hug u” kehte hain
    Yeh jo aap kerte hain who kia khak kerte hain??

    Mobile de ke larkion ko inspire kerte hain
    Maa baap ke paisoon ka khana kharab kerte hain

    Bohat pur-josh rehte hain bohat si baatein kerte hain
    Mager matlub ki baatoon ko huns ke taala kerte hain

    Deen ki baatoon ko khud pe na kabhi sawar kartay hain
    Aur kuch mane ya na mane girlfriends hamesha chaar rakhtay hain

    Nahin ager aap ki niyat mein koi futoor
    toW larkion ke face mein kia talaash kerte hain???

    Kahain tu hard disk bhar doon inn pe likh ker
    Chalein chorein aaj hum inn ko maaf kerte hain.....

  4. #4
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai?
    Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?


    Paheli barish me train late hone ki fikr hai
    Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?


    Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum
    par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?

    Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi?
    108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?


    Internet ki duniya ke to touch me hai,
    lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.


    Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
    Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?


    Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
    Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?


    To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai
    Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?

  5. #5
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    yaron ki yaari pe shak nahi karte
    jub hum bol rahe hon to bak bak nahi karte

    pareshan karte ho jab hum so rahe hote hain
    jab hum jaag rahe hain to sms nahi karte

  6. #6
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    Idher To Shehar Ke Ganjey Mairi Talaash Mein Hain
    Udher Tamaam Lafangey Mairi Talaash Mein Hain

    Main Unn Ka Maal Gaban Ker Ke Jab Say Bhaitha Hoon
    Yateem Khaaney Ke Bachey Mairi Talaash Mein Hain

    Mila Hai Nuskha Jawaani Palat Ka Jab Say Mujhey
    Tumharey Shehar Ke Bhudey Mairi Talaash Mein Hain

    Main Jinn Ke Waastey Jootey Chura Le Jail Gaya
    Woh Ley Ke Haath Mein Jootey Mairi Talaash Mein Hain

    Diya Hai Naam Kafan Chor Jab Say Tum Ne Mujhey
    Puraani Qabron Ke Murdey Mairi Talaash Mein Hain

    Patey Ki Baat Jo Moonh Say Nikal Gayi Paagal
    Tumharey Shehar Ke Pagley Mairi Talaash Mein Hain

  7. #7
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    leTe hue they rail ke dibbe meN ik buzurg
    goya ke saari ''birth'' wohii le chuke hoN mol
    tokaa kisii ne unko to kahne lage janaab
    sarkaar kah rahii hai karo ''birth control''

  8. #8
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    waziir-e-juNg ye farmaa rahe they
    hamare paas aitom bum nahiiN hai
    koii shahnaaz fauran bol uThThiiN
    nigaah-e naaz bhi kuch kum nahiiN hai

  9. #9
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    Coke peete, Pepsi peete,
    bhool gaye nimbu paani
    Phir Bhi Dil Hai Pakistani

    MTV, Channel V cool hain
    bhool gaye PTV
    Phir Bhi Dil Hai Pakistani

    Reserve Bank hain Khali
    Khali Swiss Bank mein maal paani
    Phir Bhi Dil Hai Pakistani

    Ideas hain naye naye
    Problem wohi purani
    Phir Bhi Dil Hai Pakistani

    Hong Kong main honeymoon,
    New York main meri naani
    Phir Bhi Dil Hai Pakistani
    Kapde hain Amreeki
    Gaadiyan hain Japani
    Phir Bhi Dil Hai Pakistani

    Paanch saal mein chaar government
    dekhi, suni na jaani
    Phir Bhi Dil Hai Pakistani
    ....Phir Bhi Dil Hai Pakistani
    ....Phir Bhi Dil Hai Pakistani

  10. #10
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Thanked
    111
    Rep Power
    21475004

    Default Re: Hansna Mat

    TUM MAYRE ANKH K TAYVER NA BHULA PAOO GAYe
    JAB KOYE GHUSAY SAY DEYKHAY GA TU YAAD AOON GA

    IS JUDAYE PAR ABHI TO KHUSH HO LEKIN
    BIRTHDAY PAR GIFT NA MILE GA TU YAAD AOON GA

    KISI AUR K JOOTOON KO UTARTE WAQAT
    MOZOON KI BO AYE GI TU YAAD AOON GA

    SIYA RAAT K GUMBHEER SANATOON MAIN
    ULLU KOYE BOLAY GA TU YAAD AOON GA

    PEHLAY KITNI ARAM DA THI TAYRE ZINDAGANI
    HAATH MAIN JHAARO JO THAAMO GAYE TU YAAD AOON GA

    AB TU MAASI BHI RUKH LI HAI TUM NAY LEKIN
    SUNDAY KO KHUD BARTEN DHO GAYE TU YAAD AOON GA

    PUNKHA KOON JHALAY GA GARMI MAIN TUMHAIN
    JUNE K PASEENAY MAIN BHEGO GAYE TU YAAD AOON GA

    PEHLAY TU MUJ SAY HI DHULVAYA KARTE THAY
    AB KAPRE KHUD NICHORO GAYE TU YAAD AOON GA

    ISI ANDAAZ MAIN DANTA KARTE THAY MUJAY TUM
    JAB TUM KO KOE DANTEE KA TU YAAD AOON GA


Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •