Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 12

Thread: Mohabbat....aik uljhee girrah

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    aik choata sa Gaoo'n LalaZar,punjab..now in Kchi
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    84 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    16

    asking Mohabbat....aik uljhee girrah

    wo abhe aik chota sa bacha he to tha.....jb usay mohabbat krnay ka dars diya gia tha.......usay aaj bhe yaad hai....wo taat school.....jahan maula bakhsh ne usay mahabbat ka pehla dars diya tha...usay aaj bhe pnay ustaad ke maar yaad hai ..jo usay is liye paree thee.....k us k school bag se kahanion ke kitaab kion niklee...baat to aam se the.....aik bachay ke aik choti se khwahish......kissi paree ko jaanay ke...kissi zaalim dev ke.....usay youn laga tha k jese us ne aaj wo zaalim dev daikh liya ho....ustaad kehtay thay(usay maula bakhsh istemaal krnay wala her shakhs he ustad laga).......daikho....abhe tm bachay ho.....tm sirf 8 saal k he to ho....abhe se tmharay ye kaam hien.....perhai mean tm achay ho....to kion krtay ho aisay kaam.....
    wahin se us ne seekha tha...k abhe to wo bacha hai....abhe to us ne bohat kuch krna hai..

    aik safaid posh ghr ka bacha....is liye school nai jata ka usay ishq hota hai.....perhae se..apnay maqsad se....wo to sirf is liye jaataa hai school....k sb jatay hien wahan...aur udher khailnay k liye bohat waqat hota hai.....
    kabhe kbhe usay apni maan ke ankhoun mean aansoo nazr atay to bechain ho k poochta...amaa.....tm bhe roti ho.....tm to bacha nai ho....usay tb pata kahan tha ka bachay to sirf rona jaantay hien......un k liye ansoo to sirf aik izhaar hotay hien...apne naaraazgee zahir krnay ka....apni baat manwanay ka...

    kabhee kabhee usay apnay abba bhe yaad atay thay....such to ye he k bachay ko abba is liye yaad naee ata k wo us se pyar krta hai....haan wo manosiat...jisay bacha koi naam nai day skta...wo yaad ati.....wo sochta tha k us k abba kahan gai...kion soe rehtay hien us k school k qareen aik jaga...jahan aur bhe bohat se loag soe hue hien...abba ka ghr bhe to hai....wo wahan kion nai sotay.....aur ye kahan ka insaaf hai k usay to subuh he subuh jaga diya jata tha.....k school jao...mgr abba ko to koi nai jagata ...k utho...aur koi un ka pass bhe to nai jata tha.....haan kbhe kbhe...tptee dopehr ko...jb sb ghr walay soe hotay....ya phir us din..jb school mean usay maula bakhsh ne kuch sikhaya hota...to wo abba k paass...un k sir ke jaanib lagay peeple ke chaaon mean betha ya to rotaa rehta..ya phr jee bhr k un se baatien krta rehta.....akser uoun hua tha k qareeb k gher se baba Nazra usay apne gaud mean uthay sulagtay din ke garmee se bacha k apnay saath lay jata....aur usay kuch na kuch khanay ko deta....us waqt usay baba nazra pata nai kia lgta...wo uskee gaod mean betha.....khailta rehta....kbhe kbhe wo poochta tha....baba,,,tmharay jissm se ye boo jo aati hia kiss cheez ke hai...mgr ander he ander us boo se us ke gehree shanasaee the....wo ankhean band kiye bhe soya hota...to baba nazray ke isi boo se pehchaan leta..jb bhe usay abba k pass so sota hua utha k ghr laya jata to khoob rota tha....us waqat ass k amma ke ankhoun mean jo namee se aa jati the..us nami ne usay waqat se pehlay boorha bana diya tha shaid...

    gher mean chota tha..so us ka khyaal bohat rkha jata....usay kbhe kisi cheez se gila na tha...gila tha to sirf aik baat pe k ghr walay usay chai kion nai detay...bacha tha..janta nai tha k zindagee sirf chai ke talab to nai ..haan usay aik aur ehsaas bhe tha ...k usay doctor banana hai...us k abba jb sotay nai thay to kaha krtay thay..
    "mera ey puttr doghdaar bnsee tay meda elaaj krsee""

    wo sochta tha...k ye daghdaar(doctor) kion bntay hien loag..us k mohallay mean bhe aik aadmee tha...safaid darhee...moti se ankhean....mgr bohat meetha lehja...jb bhe baat krta to "putar"" keh k bulata tha....wo sochta...aisay hotay hien doctor..nai bnana mjhe aisa...ye to bilkul chachay ke tarah hai...usay lgta k doctor to shaid chachay nai hotay.,,,un ke badee se pagree hoti ho gee...aur jb wo kissi k paas jatay houngay.....to sb unse jhuk k miltay houngay.....aur apni ser ke chadar bichatay houngay.....agr aaj bhe us bachay k ander kuch narmee hoti...to shaid ye usee doctor se lee hue hoti...
    Suno Loago.....!!
    Mairi Aankhain Kharido gay?????
    Mujhay Ik KHAWAB ka Taawaan bhernaa Hai........

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    aik choata sa Gaoo'n LalaZar,punjab..now in Kchi
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    84 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    16

    Default Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    ye aik afsaanaa haii...jo kb se unlikha hai zehn mean........shaid isay kbhe mean poora kr jaaon......aur shaaid na kr skoun....donoun sooratuon mean he mean nuqsaan mean rahounga....

    aap logoun se ye janana hai k iss ka anjaam kia hona chahye....
    kia isay poora kroun?
    us bachay ka kia bana hoga?
    isay yehien adhoora chor dena he munasib hai na?
    Suno Loago.....!!
    Mairi Aankhain Kharido gay?????
    Mujhay Ik KHAWAB ka Taawaan bhernaa Hai........

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,444
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Thanked
    1732
    Rep Power
    21474978

    Default Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    hmm zaffar sub se phele tu ap ne shuro bhot acha kiya hai..mian parhte gaye ke end kiya hoga....end bhi ap ne kardiya leken kuch Tashnagi Rahe ke or kuch hona chahye tha...agar ap isko aise kardain ke wo bacha doctor bun gaya leken is main wo narmi na rahe...u know na aj kal ke doctor 50% he lai lain logo ki khal he utar rahe hian...or wo bacha bhi is he duniya ki nafsa nafsi main koh gaya or wo narmi na rahe jo is doctor main thi....aik.2 lines or add kardain or end kardain....werna kabhi aisa hota hai ke jo story adhori reh jati hai wo hamesha phir adhori he reh jati hai

  4. #4
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    6,287
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    337 Thread(s)
    Thanked
    5
    Rep Power
    21474858

    Default Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    acha likha hai .... nahi adhora na chory isay Aap...complete zaroor kerna...

    keep writting and sharing

  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    aik choata sa Gaoo'n LalaZar,punjab..now in Kchi
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    84 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    16

    Default Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    maanta houn..........zindagee ko abhee nai daikha...aur ye bhe such hai k kai kahaniaan adhoori reh jaatien hien..........mgr ankahee kahanion k baray mean kia kahien gee ap?

    kahin prha tha...........

    ""KASH HM BHE KISSI KAHANI K MUSSANIF HOTAY.........TO DUKH AUR HAQEEQAT SE DOOR...........APNI KAHANI KA KUCH AISA ANJAAM LIKH JATAY K JISS MEAN SIRF AUR SIRF SUKH HOTAY.............""

    Naz ye zindagee to nahi........jiss ka anjaam aap bata rahi ho........khair..........mukammal to krounga isay.......kb.......ye kuch nai pata.....
    Suno Loago.....!!
    Mairi Aankhain Kharido gay?????
    Mujhay Ik KHAWAB ka Taawaan bhernaa Hai........

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    aik choata sa Gaoo'n LalaZar,punjab..now in Kchi
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    84 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    16

    asking Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    zindage ain naa-khatam honay wali kahani haii.....zindagee khatam ho bhe jai to bhe is ke kahani khatam nai hoti..........so waqat qatra qatra behta raha........wo bacha.....apnay ander.....laashaoori taur pe cheezoun ko smota gia.....yehien usay zinagee mean pehlee dafa saraha gia.....punjum(5th) ke emtehanaat mean.........us taat school k bachay ne itnay number hasil kiye jo shehr k behtreen school k un bachoun ne bhe hasil na kiye thay jin k maan baap un pe fakhr kertay thay......jin k liye zinagee caar pe school anay janay..........homework krnay......aur nay khilonay lenay kaa naam tha......usi din he us bachay nay apni maan ke ankhoun mean pehli dafa aisay aansoo diakhay jin k saath hontoun pe bhe aik neem khameeda...afsurda se muskurahat thee....usay yaad hai k us din maan moun choomtay hue kaafee dair roe the..aur raat mean wo maan kitne dair muslay pe sajday mean paree rahee the..

    mgr us bachay ke zindagee mean bazahir koi inqalaab nai aya tha...haan farq praa tha to ye k wo taat se uth k un ebnchoun pe aagia tha...jahn us k saath usi bench pe 3 lrkay aur bhe bethtay thay.....taat pe to wo akaila tha....yahan us ke aklotee badshahat bhe munqasim ho gai thee...kia bdlaa tha?kuch bhe nahi......wohi maula bakhsh,,,,,,,wese he karakhat chehra ustaad.....haan kuch kamee mehsoos hoti the to abba ke...jahan wo pehlay poora din guzar skta tha...mgr ab nahi......
    ab maula bakhsh us pe to nai ataa tha....mgr saath bathay sajay.....akree aur manay pe to roz he aik na aik dafa maula bakhsh ke maar aatie he the....wo sochta ..kese lrkay hein.......shaid mjh se achay......jo phir bhe nai rotay......

    ab wo bacha...lrka bananay k marahil mean daakhil ho chuka tha....school ke bazm-e-adab us k beghair adhoori smjhe jaatie the..to sirf is liye k wo akailaa sb ka muqabala krta..chahay bait baazi ka muqabla hota yaa kuch aur.....is merhalay pe..jahan usay alfaaz k maani bhe sahi tarah se nai pata thay,,,,,,,,us k aik ustaad ne.....jissay shaaid wo aaj tk nai jaan pya....yaa shaaid....wo ustaad...jiss ne pehlee dafa usay ehmiat dee....us k ander tehreek paida ke k tm kr sktay ho.......so wo un ke khushi k liye......kitaab beenee ke lat mean mubtala ho gia...perhta to wo pehlay bhe tha.....mgr gher se chup k aapaa k wo magzine jo aapaa ne bister mean chupaye hotay....

    ab shaid wo lrka bn chuka tha.......halkee halkee sardion k din thay.....dhoop niklee hue thee...us se aik din pehlay he wo Sajay k saath betha tha jb sajay ne aik lmba sa kaghaz nikala aur usay choomnay lga......choomtay choomtay bola.....""oe daikh aa ke?love letter......waikh mere jaan menu likhya e.....""
    bohat preshaan hua.....k ye love letter kia hota hai.....usay to bus itna pata tha k aik khat to wo hota hai jo chacha ko likhna hota hia k yahan hostal mean sb kheriat hai...aur meri taaleem theek jaa rahee hai..ya phir chotay bhai ko likhna hota hai k wo apni taaleem pe twajuh day....ye kesa khat hai jisssay Sajaa love letter keh raha hai......jis mean hont se chappay hien........aur likha hai k I LOVE U.....baar baat yehi to likha tha....us khat mean....usay pata tha k I LOVE U ka mtlab kiya hota hai..yehi na k mean tm se pyar krta houn......mgr is mean koansee aisi baat the k jiss ke waja se.....saajaa itna khush tha.....us din us ne her period mean maaaar khai..mgr thora sa bhe shor sharaba nai kia tha..na wo jhoo moot roya tha k ""ustaad mar gia mean...alllah dee qasamy....kal lekh k aawaan gaa"""

    kal se wohi khat..wohi alfaaz us k zehn mean ajeeb se bechainee paida kiye hoe thay.....us ka bhe dil krta tha k usay bhe koi wesa he khat likhay....aur wo bhe sajay ke tarah sb ko dikhaye..aur phir sajay ke tarah maar khay......

    us din...wo apnay chacha ke betee ..chotay bhai....taae aur amman k saath kapaas chunanay aaya tha...bachay kapaas nai chuntay..wo to khailtay hien...."o waikh....mere amma ne ziada chuni hai"

    gunay khatay hue......us k zehn mean pata nai kia aayaa k wo chachay ke betee.....ishree ko kehnay lga.......ab gaaom mean ho to wohi lrkee ishree hoti hai......haan age wo maim jee ho..ya shehri ho to wo ishrat hoti hai..mgr bacha tha........usay iss tazaad ka kahan pata tha...kehnay laga.....""oe ishrree......gal sun to mere...menu aik jumlay da maani dus....badee zaheen bnti rehndi hien too"" ....." wo to mean hoounnnn"""...ishree bolee...
    Suno Loago.....!!
    Mairi Aankhain Kharido gay?????
    Mujhay Ik KHAWAB ka Taawaan bhernaa Hai........

  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    aik choata sa Gaoo'n LalaZar,punjab..now in Kchi
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    84 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    16

    Default Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    shaaid phr adhoori reh gai hai.......aur shaaid poori na ho skay.......
    Suno Loago.....!!
    Mairi Aankhain Kharido gay?????
    Mujhay Ik KHAWAB ka Taawaan bhernaa Hai........

  8. #8
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,444
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Thanked
    1732
    Rep Power
    21474978

    Default Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    Ankahe Kahaniou main bhi bhot kuch kha jata hai .....jabhe wo keh ker bhi Ankahe reh jati hain...

  9. #9
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    aik choata sa Gaoo'n LalaZar,punjab..now in Kchi
    Posts
    111
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    84 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    16

    Default Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    theek kaha aap ne naaz........ankahee koan smjhta hai........khushnaseeb hotay hien wo jin ke ankahee smjhee jaati hai
    Suno Loago.....!!
    Mairi Aankhain Kharido gay?????
    Mujhay Ik KHAWAB ka Taawaan bhernaa Hai........

  10. #10
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    6,287
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    337 Thread(s)
    Thanked
    5
    Rep Power
    21474858

    Default Re: Mohabbat....aik uljhee girrah

    buhat khoobsorti say likha hai Aap nay ....or kuch nahi kahu gi....bas keep writting and sharing

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •