Yaar hijab jab phele kuch pata nahi tha tu sub kitna acha lagta tha
ab jab sub samj agaya hia ke kahan kahan ghalati hoti hia tu
bhot ghalitiyan hian
waise achi hai leken tum isko sahe karsakti ho karo na tumhe tu itna acha likhna ata hai
Assalamo-Alekam!
So far hum nay jitni bhi ulti seedhi shayri likhi hai us mein say hamein apni yeh wali kuch had achi lagi hai!
Is mein hum nay shayri kay qawaid -zawabat ko made-nazar rakhnay ki koshish ki hai.
LEKIN, aik mistake phir bhi hai, aik shair mein hum radeef ki pabandi nahi ker sakay!
Aap ki qeemti aa'ra ka intizar rahey ga!
Yaar hijab jab phele kuch pata nahi tha tu sub kitna acha lagta tha
ab jab sub samj agaya hia ke kahan kahan ghalati hoti hia tu
bhot ghalitiyan hian
waise achi hai leken tum isko sahe karsakti ho karo na tumhe tu itna acha likhna ata hai
ghaltiyan batayey na aapi
hum ko abhi ini achi kahan likhni aati hai
aap tou hum say pehlay ki likhtey ho
kuch ghaltiyan aap bhi tou nikalein na
nice try mujhe kuch samajh nahi ayee kiyon kay mein nay read hee nahi kiya bcz it'so boring
Thx 4 The Beautifull Sharing
Mohobbat Main Wafa Ke Kaayil Hum Bhi Hain Doston
Haan Magar Is Main Jaan Se Jaayein Is Kaabil Hum Nahin Hain
Beautifull Words
Jazak ALLAH ST & Geo!
khush rahiye![]()
bahot khoob Hijab saahiba,achhi koshish rahi yeh aap ki,
radeef to aap ne jaan liya ke aek sheir main radeef badal gaya hai,lekin qaafiya par kon sochey ga,
aap ne is ghazal main qaafiya ka bilkul khayaal naheen rakha,yeh achhi baat naheen,ghazal main teen cheezain,bahot zaroori hai,radeef,qaafiya,aor behar,(wazn),behar par to ham ba.ad main baat karain ge,jab us ka mazmoon post ho ga,lekin radeef aor qaafiya to ab aap jaanti ho,
chalain jaldi se aek aor ghazal likh daaliye,aor us main radeef aor qaafiya ka khayaal bhi rakhiye ga,
bahot khush rahiye,![]()
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
ho maohabbat mein rafaaqat yeh zaroori toh nahi hai
zaberdast Hijab![]()