mujh ko apney zabt peh naaz tha ser-e-bazam raat yeh kiya hua
meri aankh kaisey chalak gyee hai yeh gham bura hua
meri zindagee k charagh ka yeh mizaaj koi niya naheen
abhi teergi abhi roshni na jala hua na bujha hua
mujhey aap kiyoon na samajh sakey yeh apney dill se poochiye
meri dastan-e-hayaat ka hai werq werq khula hua
mujhye jo bhi dushman-e-jaan milla woh pukhta kaar jafa milla
na kisi ki zerb ghalat peri na kisi ka waar khata hua
mujhye raah main pera hua kisi budnaseeb ka khat milla
kaheen khon-e-jiger se likha hua kaheen ansoon se mitta hua
mujhye humsafer milla bhi tu sitam zareef meri terha
kaii manziloon ka thaka hua kai rastoon ka luta hua