YA RAB
Ya Rab! mere sakoot ko naghma-saraai de
Zakhm-e-hunar ko hosla-e-lab- kushaai de
Lehje ko ju-e-aab ki wo nae-navaai de
Dunia ko harf harf ka behna sunaai de
Rag rag mein uss ka lams utarta dikhaai de
Jo kaifiyat bhi jism ko de intahaai de
Shehr-e-sukhan se rooh ko wo aashnaai de
Aankhein bhi band rakhoon to rasta sujHaai de
Takhayyul maahtaab ho,izhaar aa'ina
Aankhon ko lafz lafz ka chehra dikhaai de
Dil ko lahu karooN to koi naqsh ban sake
Tu mujh ko karb-e-zaat ki sachi kamaai de
Dukh k safar mein manzil-e-na- yaaft kuch na ho
Zakhm-e-jigar se zakhm-e-hunar tak rasaai de
Main ishq-e-kaa'inaat mein zanjeer ho sakooN
Mujh ko hisaar-e-zaat k shar se rehaai de
PehroN ki tishnagi pe bhi saabit-qadam rahooN
Dasht-e-balaa mein,rooh mujhe karbalaai de