-
~!~ Umera Ahmed ~!~
Umera Ahmed ke novel ~*~Tora sa asman~*~se yeh paragraph jo mujhe pasand aya socha app ke sath share kiya jaye
"Hum main se her shaks apni zindagi main aik jung Larta hai aur wo jung her aik ko khud he larne parti hai.koi dosra ap ke liye larta hai na app ko kisi dosre se yeh tawaka hone chahye"
"Thokar lagne per girne ke bad sirf aik kam karna chahye,dobara kahre hojana chahye.her bar girne per yehe karna chahye yaha tak ke app waha pohnch jaye jaha app pohnchna chahte hain"
Last edited by Arslan; 07-08-2012 at 12:37 AM.
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
Assalam-o-Alikum WR WB
Bhot umda
zabrdast aur ya meri life ka experince bhi hay k hamesha Girta hoon aur sambhalta bhi hoon wo bhi is liya k mujhy apnay Ustad jasy dost mil jatay hay 
FeamNAllah
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
Captain apna bhi kuch aisa he hal hia ...gir gir ke aj is muqam per hon...Allah izaat dene wala hai
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
Assalam-o-Alikum WR WB
Aap nay durust farmya hay , aur aap ki is baat ki gawahi mai dey sakta hoon k really aap nay Mashalah her muqam per bhot mahnat ki hay aur her dosryi jagha ko bhot upar tak phonchiya hay , INSHALAH aap dekhya ga k is ka Pahl ab aap ko milna shuru hua hay aur wo din door nahi jab dunia aap ko dekhy gi
wish u good luck 
FeamnAllah
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
~*~Cycle of Replacement~*~
" koun kehta hai k kisi shakhs se aik baar mohubbat
honay k baad uss se nafrat ho sakty hai? jo kehta
hai duniya ka sab se bara jhoota hai ...Cycle of
Replac ement main sirf mohubbat ki replacement
nahi hoty...khud ko fareib deynay k baawajood
hum jantyay hain k humaray wajood main khoon
ki terha gerrdish kernay wala naam kis ka hota
hai...hum kabhi bhi usay apnay wajood se nikal
ker bahir nahi pheink saktay ..tehy der tehy usss
uss k ooper dosri mohubbatooN ka dhair lagatay
chalay jatay hain .....kehtay hain k ab hum iss se
mohubbat kertay hain ab hum uss se mohubbat
kertay hain...lakon jo ziyada dour hota hai wo
ziyada qareeb aata jata hai..aur humaray dil O
dimagh k uss hissay main jaa pohnchta hai k kabhi
us ko wahan se nikalna bhi per jaiy tu uss k baad
hum normal zindagi guzaranay k qabil nahi rehta"
("UMERA AHMED " keh novel sai makhooz)
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
acha intikhaab hay,,umaira ahmed wo wahid digest adeeb hain,jin ka main khud maddah hon,,,lagta hay kay urdu adab main khawteen likhariyon ki saf main bano qudsiya or raziya faseeh ahmad kay baad umaira ahmad apni jaga bana lain gi,, or ye urdu adab ki khush qismati hay kay umaira ahmad america jatay jatay rah gaeen,wrna kahan amerca ki hangaam zindagi or kahan umaira ahmad,, boht achi sharing hay naz aapki
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
FROM PEER-E-KAMIL.. by Umera Ahmed
ZINDAGI MEI HUM KABHI NA KABHI USS MAKAM PE AA JATAY HAI.. JAHAN SARAY RISHTAY KHATAM HO JATAY HAIN.. WAHAN SIRF HUM HOTAY HAI AUR ALLAH HOTA HAI.. KOI MAAN BAAP BEHAN BHAII DOST NAHI HOTA.. PHIR HUMAIN PATA CAHLATA HAI K HUMARAY PAIRON TALAY NA ZAMEEN HAI AUR NA SAR K UPPAR ASMAN.. BUSS SIRF AIK ALLAH HAI JO IS KHALA MEI BHI HUMAIN THAMAY HUAY HAI.. PHIR PATA CHALTA HAI K HUM ZAMEEN PE PERI MIITI K DHAIR K AIK ZARRAY YA DARAKKHT PER LAGAY HUAY AIK PATAY SE ZIADA WUQAT NAHI RAKHTAY PHIR PATA CHALTA K HUAMRAY HONAY YA NA HONAY SE SIRF HUMAIN FARAK PERTA HAI.. SIRF HUMARA KIRDAR KHATAM HOTA HAI.. KAINAT MEI KOI TABDEELI NAHI ATTI .. KISI CHEEZ KO KOI FARAK NAHI PERTA
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
buhat khoobsorat iqtbaas hain Nazo Aapa and MA
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
Assalam-o_Alikum WR WB
Bhot khubsuart
kya baat hay sab ki
me ki trha sab hi layk hy
FeamnAllah
-
-
Re: ~!~ Umera Ahmed ~!~
Bohat Khoob , Umaira Ahmad to kya khoob likhty hain , She is superb
-
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules