palkain ujaarr,dil hay bujha, rooh soo gaye
roaye huay bhi yaaro,buhat dair hogaye
ik wo sada thi apni, to jeenay ka hosla
is zindagi k shor main ab wo bhi kho gaye
aaye to jaisay honay laga matla-e-ghazal
bathi to jaisay nazm ki takmeel hogaye
kehtay thay ab na aayngay nazron k jaal main
moj-e-naseem zehan say har azam dho gaye
khoaye hain us k sehar main hi ehl-e-kaarwaan
uski nazar jo waqt-e-safar rang bo gaye
uff ye diloon main phelay khalaaon ki wus'atain
kaisay kahain khalaaon ki taskheer hogaye
main hoon shikaar-e-fitna ehsaas-e-rang
kis tarha aik jism ki taqseem hogaye