nae bunyadain wahi log bhar saktay hain jo is raaz say wakif hon k purani bunyadain kyun baith gaen
agar apnay har haal man khush rehnay ka fan sikh liye tu yaqeen janiye k aap nay zindagi ka sab say bara fan sikh liya
jo gham guzar chuka hay ospar rahjida honay ka matlab hay k aap aik naye gham ko daawat dai rahay hain
jab aqal pukhta hojati hay tu guftagu khatam hojati hay
kuch taluk anaa say tout jatay hain magar kuch rishton ko ka'eem rakhnay k liye anaa zaruri hay
muhabbat hamesh apni gehraaiyoun say bekhabar aur na aashna rehti hay jab tak judaee k lamhay isay baidaar na kardain
qehqaha darasal wo hay jo aansu'on k samandar say tairta howa honoton tak aaye
kaamyaab insaan maazi ki nakamiyoun ko yad rakhtay hian
naram alfaaz ki laagat mamouli magar kadr-o-kimat bohat ziyada hoti hay
jo log aapsay ziyada zahin hain ounsay jalnay ki zarurat nahi kyun k aap ounsay ziyada mehenti bansaktay hain