bht achi sharing hai![]()
Meri zindagi pe na muskara mujhe zindagi ka aalam nahin
jise tere gum se ho waasta wo khizaan bahaar se kam nahin
mera kufr haasil-e-zuud hai mera zuud haasil-e-kufr hai
meri bandagi wo hai bandagi jo raheen-e-dair-o-haram nahin
mujhe raas aaye khuda kare yahi ishtibaah ki saatein
unhein aitbaar-e-wafaa to hai mujhe aitbaar-e-sitam nahin
wahi kaaravaan wahi raaste wahi zindagi wahi marhale
magar apne-apne muqaam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin
na wo shaan-e-jabr-e-shabaab hai na wo rang-e-qahar-e-itaab hai
dil-e-beqaraar pe in dino hai sitam yahi ki sitam nahin
na fanaa meri na baqaa meri mujhe ae 'shakeel' na dhoondiye
main kisi ka husn-e-khayaal hoon mera kuch wajood-o-adam nahin.
bht achi sharing hai![]()
nice janab![]()