Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 10 of 27

Thread: shaairy seekhiye sabaq 3

  1. #1
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    21474852

    Default shaairy seekhiye sabaq 3

    ASLAAM O ALEKUM,
    Lijiye dosto hasb-e-wa.ada agley yehni shaairy seekhiye ke teesarey mazmoon ke saath haazir hoon,aor umeed karta hoon ke yeh mazmoon bhi aap ke liye faaida mand rahey ga,baaqi to aap ki apni mehnat par munhasar hai,
    jin doston ne pehley asbaaq miss kar diye hain un ke liye link neechey de raha hoon,un par click kar ke aap woh mazmoon paR saktey haiN,

    link yeh rahey,.......
    shaairy seekhiye sabaq 1,
    .:.Sachii Dosti Community.:.

    shaairy seekhiye sabaq 2,
    .:.Sachii Dosti Community.:.

    duaoN main yaad rakhiye ga,
    bahot khush rahiye,

    mashq e sukhansabaq3p1 - shaairy seekhiye sabaq 3
    mashq e sukhansabaq3p2 - shaairy seekhiye sabaq 3
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN

  2. #2
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Thanked
    1
    Rep Power
    11381705

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    Walekam-Aslam
    wow, Sir Ji, bohat he interesting mashq hai, partay partay kab khatam hue pata ha nahi chala.
    Hum INSHALLAH isay puri dil'jami say baar baar parein gey!

    Bus aik chuti si baat:
    Ab jaisay kay lafz misal mein Urdu kay chaar harouf hein, meem, say, alif, aur lam.
    Lekin jab ham isay digital tour per likhein gey tou 3 numbers mein likhein gey 121.
    So, it means kay hum ko in ki digital tad'ad kay baray mein tab aur aisay pata chalta hai, jab hum zaban say un ki ada'y'gi kertey hein, so it doesn't have to do anything with the number of characters it has as in Urdu language! It's just the way you pronounce the word!
    Am I right?

  3. #3
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    21474852

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    Quote Originally Posted by Hijab View Post

    Thank u Hijab,

    bilkul,aap bilkul theek samjhi haiN,alfaaz ka wazn karney ke liye ham un ke talafuz yehni pronounce par ghor kartey haiN,aor jis tarah se ham lafzoN ko zubaaN se ada kartey haiN,ussi tarah se un ka wazn note kar letey haiN,yehni har lambi yehni 2 haroof ki aawaaz ko,2,aor chhoti yehni aek harf ki aawaaz ko 1,
    is main ghor karney waali baat yeh hai ke alfaaz ka talafuz bilkul theek ho,warna ham alfaaz ko ghalat wazn par istamaal kar lain ge.

    aap sab se guzaarish hai ke is ki khoob mashq kijiye,aor har roz kuchh alfaaz ki taqtee yahaan karain,ta ke mujhey bhi pata chalta rahey ke aap kitna samjh rahi hain is ko,agar koyi lafz mushkil lagey,ya us ka talafuz samajh na aaye to yahaan mujh se poochh sakti haiN,main us ka talafuz aor us ka wazn aap ko bata doon ga.lekin mashq beharhaal laga taar hoti rehni chaahiye,jitni ziyaada aor achhi mashq is ki ho gi,utna hi agla mazmoon aap ko aasaan lagey ga,aor agr is mazmoon ki sahee mashq na huyi to phir agla mazmoon aap ko samjh naheen aa sakey ga,ab dekhna yeh hai ke kon kitni mehnat aor mashq karta hai.
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN

  4. #4
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,444
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Thanked
    1732
    Rep Power
    21474978

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    Asalam.o.Alaikum

    Ustad Jee Yeh sub kuch suna suna sa ku lag raha hai

    Mohabbat......Mo+ha+bbat=222

    Sharafat......Sha+ra+fat=222

    Mousiqi.......Mo+si+qi=222

    Matlab........Ma+t+lab=112

    Mouj..........M+ouj=12

    Sare ghalat

    yanee agar yeh Mohabbat,sharafat,mousiqi sahe hai tu teno he hum awaz hain.agar ghalat hai tu nahi hai

  5. #5
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    21474852

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    Quote Originally Posted by naz View Post
    Asalam.o.Alaikum

    Ustad Jee Yeh sub kuch suna suna sa ku lag raha hai

    Mohabbat......Mo+ha+bbat=222

    Sharafat......Sha+ra+fat=222

    Mousiqi.......Mo+si+qi=222

    Matlab........Ma+t+lab=112

    Mouj..........M+ouj=12

    Sare ghalat

    yanee agar yeh Mohabbat,sharafat,mousiqi sahe hai tu teno he hum awaz hain.agar ghalat hai tu nahi hai
    Walekum Aslaam.
    ji chaahata hai tumain murgha bana diya jaaye,
    bhool gayi ho na sab,

    lekin achhi baat yeh hai ke tum ne koshish to ki,agar musalsal mashq karti rahi to samajh jao gi INSHA ALLAH.
    dekho,alfaaz ko masnoohi,yehni apni tarf se talafuz na do,balke un ka jo talafuz hai,ussi par alfaaz ki aawaaz ko mehsoos karo,ke koyi lafz zubaan se ada kartey huye,kon sa harf,tanha rehta hai,kon sa harf agley harf se mil kar aawaaz banata hai,jo harf tanha ho,us ko 1,aor jo harf doosarey harf se mil kar bola jaaye ussey 2 ka wazn de do,bas itna sa kaam hai.

    ab ghor se dekho,aor samajhney ki koshish karo,

    Mohabbat......meem par paish,....hey par zabar,+bey par tashdeed,(bey 2 baar boli jaaye gi,),.... bey par zabar aor tey saakit,so is ka talafuz bana....mo_hab+bat........aor wazn ho ga,.....1,2,2

    Sharaafat.....sheen par zabar,,...rey +alif,...fey+tey,
    is ka talafuz bana...sha...raa,..rat.......wazn ho ga....1,2,2
    yehni ..muhabbat,aor sharaarat donon ham wazn haiN.

    Mousiqi.......Mo+si+qi=222............yeh sahi likha hai tum ne,..shabaash,
    meem+wao, seen+ye, qaaf+chhoti yeh...2 2 2

    Matlab....
    ghor se dekho,..ham jab matlab ko zubaan se ada kartey hain to haroof ki aawaaz kis tarah se aati hai,.....ham pehley meem aor tey ki aawaaz sunein ge,yehni.....mat,....meem par zabar,aor tey saakit,..........aor phir ham suntey haiN ..lab....ki aawaaz,..yehni laam par zabar aor bey saakit.so is ka wazn bhi ussi hisaab se ho ga,yehni...mat=2, lab=2........so matlab=22

    maoj.......ka talfuz hai....meem par zabar+wao,..aor phir jeem saakit.yehni ..mao+j......is ka wazn ho ga ,21

    alfaaz ka talafuz ghalat huwa,par koyi baat naheen,har banda seekhatey huye ghalti karta hai,aor ghalti kar ke seekhta hai,jo banda ghaltiyoN ke dar se koshish hi naheen karey ga,woh kabhi bhi seekh naheen sakta,
    so shabaash ki haqdaar ho tum ,ke tum ne mashq ki,aor seekhaney ki koshish ki,yoonhi mehnat jaari rakho,
    Last edited by ishtiaq zain; 18-05-2008 at 07:42 PM.
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    21474877

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    ooooooooooooooooo achaaaaaaaaaaaaaa

    ab ayi hai me ko samhj....

    waisay samhj ko kaisay likhien gaye

    sa+ma+jh....112

    aisay kaya
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - shaairy seekhiye sabaq 3

  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,444
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Thanked
    1732
    Rep Power
    21474978

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    Quote Originally Posted by zain View Post
    Walekum Aslaam.
    ji chaahata hai tumain murgha bana diya jaaye,
    bhool gayi ho na sab,

    lekin achhi baat yeh hai ke tum ne koshish to ki,agar musalsal mashq karti rahi to samajh jao gi INSHA ALLAH.
    dekho,alfaaz ko masnoohi,yehni apni tarf se talafuz na do,balke un ka jo talafuz hai,ussi par alfaaz ki aawaaz ko mehsoos karo,ke koyi lafz zubaan se ada kartey huye,kon sa harf,tanha rehta hai,kon sa harf agley harf se mil kar aawaaz banata hai,jo harf tanha ho,us ko 1,aor jo harf doosarey harf se mil kar bola jaaye ussey 2 ka wazn de do,bas itna sa kaam hai.

    ab ghor se dekho,aor samajhney ki koshish karo,

    Mohabbat......meem par paish,....hey par zabar,+bey par tashdeed,(bey 2 baar boli jaaye gi,),.... bey par zabar aor tey saakit,so is ka talafuz bana....mo_hab+bat........aor wazn ho ga,.....1,2,2

    Sharaafat.....sheen par zabar,,...rey +alif,...fey+tey,
    is ka talafuz bana...sha...raa,..rat.......wazn ho ga....1,2,2
    yehni ..muhabbat,aor sharaarat donon ham wazn haiN.

    Mousiqi.......Mo+si+qi=222............yeh sahi likha hai tum ne,..shabaash,
    meem+wao, seen+ye, qaaf+chhoti yeh...2 2 2

    Matlab....
    ghor se dekho,..ham jab matlab ko zubaan se ada kartey hain to haroof ki aawaaz kis tarah se aati hai,.....ham pehley meem aor tey ki aawaaz sunein ge,yehni.....mat,....meem par zabar,aor tey saakit,..........aor phir ham suntey haiN ..lab....ki aawaaz,..yehni laam par zabar aor bey saakit.so is ka wazn bhi ussi hisaab se ho ga,yehni...mat=2, lab=2........so matlab=22

    maoj.......ka talfuz hai....meem par zabar+wao,..aor phir jeem saakit.yehni ..mao+j......is ka wazn ho ga ,21

    alfaaz ka talafuz ghalat huwa,par koyi baat naheen,har banda seekhatey huye ghalti karta hai,aor ghalti kar ke seekhta hai,jo banda ghaltiyoN ke dar se koshish hi naheen karey ga,woh kabhi bhi seekh naheen sakta,
    so shabaash ki haqdaar ho tum ,ke tum ne mashq ki,aor seekhaney ki koshish ki,yoonhi mehnat jaari rakho,
    Ustad je maine phele he kha tha ke bhool gaye hon
    murga wo bhi sub ke samne

    bhol tu gaye thi leken yaad dash main halka halka tha ke hota kiya hai

    Dosti.......D+os+ti= 122

    aik mujhe bolne se yeh bhi lag raha hai iska

    Do+s+ti=212

    Maah.......Ma+ah=21

    Sachi.......sa+c+hi=212

    naaz........na+az=21

    Haqeqat......ha+qe+qat= 122

    Mehmaan.....meh+ma+an=222

    sub ghalat hai i know

  8. #8
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    21474852

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    Quote Originally Posted by ~*Dua*~ View Post
    ooooooooooooooooo achaaaaaaaaaaaaaa

    ab ayi hai me ko samhj....

    waisay samhj ko kaisay likhien gaye

    sa+ma+jh....112

    aisay kaya

    samajh ko.......sa+majh...12....likhain ge,aor yaad rakhney ki baat yeh hai ke 2 aabkhoN waali hey kabhi bhi taqtee main shumaar naheen hoti(yeh sab asool INSHA ALLAH agley mazmoon main aayain ge),
    aap baaqaaida shaamil hoti rahain,INSHA ALLAH bahot faaida haasil ho ga.
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN

  9. #9
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Thanked
    0
    Rep Power
    21474852

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    [quote=naz;69761]Ustad je maine phele he kha tha ke bhool gaye hon
    murga wo bhi sub ke samne

    tum ne paabandi se class main aana shuru kar diya hai,is liye tumaari saza muaaf huyi,

    bhol tu gaye thi leken yaad dash main halka halka tha ke hota kiya hai

    Dosti.......D+os+ti= 122.....yeh talafuz ghalat hai,

    aik mujhe bolne se yeh bhi lag raha hai iska

    Do+s+ti=212.........yeh sahi hai,

    Maah.......Ma+ah=21...good

    Sachi.......sa+c+hi=212........ghalat hai yeh,is ka talafuz ho ga....sach+chii =22,.....chey par kiyoonke shad hai,is liye 2 baar boley gi.

    naaz........na+az=21......wazn to sahi likha hai,par hijjey ghalat kiyooN?is ke hijjey yoon honge,.....naa+z =21

    Haqeqat......ha+qe+qat= 122.......good.

    Mehmaan.....meh+ma+an=222..........phir ghalat.......meh+maa+n= 221

    sub ghalat hai i know
    sab naheen,1,2 theek bhi haiN,
    agar yoonhi mehnat karti raho to jald hi seekh jao gi INSHA ALLAH.

    bhaaganey se taqtee naheen aati,musalsal mashq se aati hai,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN

  10. #10
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,444
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Thanked
    1732
    Rep Power
    21474978

    Default Re: shaairy seekhiye sabaq 3

    acha ustad jee asal main mujhe taqtee main maza ata hai isliye regular hue hon

    Bandagi................ban+da+gi=212

    Pooja.............poo+ja=22

    janat.............ja+nat=12

    ghalat bhi ho tu koi masla nahi aise he aye ga

Page 1 of 3 123 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •