mujhay bas itna kehna hai
kabhi main yaad aaaon toh
kabhi tanhai ki ratain
tumhain ziyada satayen toh
kabhi titli na bolay toh
aur jugnu lout jaye toh
kabhi jab dil bhi bher jaye
koi jab sun na paye toh
ager sab dost saathi bhi
jo tum se ruth jayen toh
kabhi jab khud say larr larr kar
thakan se choor ho jao toh
kabhi chahtay hue khud bhi
mujhay awaaz day dena
aur phir mere tasawwur say
jo chaho batain keh dena
mere kandhay pe sar rakh kar
tum jitna chaho ro lena
phir khud main jab loat jaoon toh
uss hi duniya main chalay jana
mager bas itna kehna hai
ke jab bhi dukh ya khushiyoon main
hamain DIL say pukaro gay
hamain tum paas pao gay....