Kaho phir kya kiya jaye....?
Mujhe tum achi lagti ho
Tumhen main Acha lagta hon
Kaho Phir kya kiya jaye?
Tumhari jagmagati, Muskurati,
Geet gati, Dil ruba Aankhen
Buhat gehri Badi qatil nihayat
Kushnuma Aankhen
Mere Dil se meri Betabiyon se
Khelti Aankhen
Khamoshi ki zuban main
mujh se kya kuch Bolti Aankhen
Bazahir Doston main Khil-khilati
Chor Nazron se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunti Aankhen
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhen
Ye sab Baten btati hain
Main tum ko Acha lagta hon
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazren
Ada-e-beniazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar
wo ek Kamzor si beittifaqui
berukhi k sir pe ek
Mohoom si khuwahish
Mujhe han, mujhe
yun hi Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil Chusp si koshish
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Darr se
Beirada gher ehem Logon se
Rasm-e-guftogu karna
Ye sab Baten btati hain
Tumhen main Acha lagta hon
kaho phir iya kiya jaye....?
Mere besakhta fikre
mere Lehjay ki har Shokhi
Mera har waqt har ek Simt
tum ko Dhundte rehna
Nazar parte hi tum par
Zoor se Dil ka Dharak uthna
Ye sab baten btati hain
Mujhe tum Achi lagti ho
Tumhen main Acha lagta hon
Kaho phir kya kiya jaye....?
Hamare Darmiyan Rasmon, Riwajon ka
Samaji martabe ka Umr ka aur Khandanon ka
Buht gehra khala hai
Usay Kaise, Kaise pur kiya jaye...?
Kaho phir kya kiya jaye...?
Kaho phir kya kiya jaye...............!!