Asalam o alikum
main sameera baqalm khud ehtejaaj karti hon our
ye ehtejaaj tab tak jaari rahy ga jab tak
mery mutalibaat manzoor nahi kiye jaty
.
mazdoor qoom ko uska haq milna chhaiye
bechary mazoor say kaam karvaye ja rahy hain admin
sara din idhar udhar bhagaye ja rahy hain admin
our aik waqt ki roti tak nahi dayty
ab mazdoor khaye kia? 
roti na sahe pizza khila do
kfc khila do
ya phir koi gift he day do
aik our ehm mutaliba
mabadolat ko pink member logo hamesha k liye day diya jaye 
jaldi say mazdoor ko sari sahulaiyaat muhaiyaa ki jain
warnna.........................
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
kuch bhi nahi
bechara ghareeb mazdoor kar bhi kia sakta hai