Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ki Jo Mere Jaisa Ho
Mere Khuloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hai
Woh Koi Bhi Ho,Kahin Bhi Ho,Kaisa Bhi Ho
Jo Khuwab Deney Ko Taiyar Ho Meri Aankhon Ko
Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakey Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To
Muskura K Manaye, Woh Aisa Ho
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey
Iradon Mey Woh Apne Chahaton Jaisa Ho
Dukhon Mey Hansney Ka Kamal Janta Ho
Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehrah Ho
Us K Pyar Ke Thandak Ho Mere Liye Aisi
K Woh To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Mey Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale Woh Aisa Hooo...
Mujhay Talash Hai Us Ki Jo Mere Jaisa ho.