Shanshai Gazal se jane wale Mehndi Hassan
kisi introduction ke mohtaz nahin, pichle
lambe arse se beemar chelrahe hain. Ab
wo apne ilaz ke liye India jane ko ready
hai. Kafi time pehle Indian filmy singer
Lata Mangeshker ne Hassan sasheb ko
Mumbai aane ke liye gujarish ki thi.
Hindustan mai janme Mehdi Hassan ko
Shashtriya (Classical Music) Sangeet
and Gaayki apne Abbajan se viraset
main mili thi. Unhon ne bakayda Indian
Classical Music ki taleem Chacha Ismail
Khan se li thi. Ye kuch alfaz unki ek gazal:
"Jinka ahsaas hi merchuka ho doston,
aina ab dikhaon to kya doston!
Kitne anjaan hain aina dekh ke,
sharm aati nahin unko doston."
Baad main wo Pakistan aa gaye aur
wahan hazaron gazals, nagme, Tumri,
Dadra main gaaye. Mehdi Hassan ki gayee
gazalon ne aise maqbooliat hansil ki unhone
palatker doosri or nazaer na ki. Unke
hamare jaise chahete ki nazron main:
"Kyon na ye dil tuj per war doon,
husna se bhi tum ho hansi.
Paanv perte jahan per tumare,
phool khil jaate hai wahi."
Khuda se sabhi dua karen ki Mehdi Hassan
Saab jaldi hi ache ho ker aaye aur hum
unhe ye keh ker pukare :
Chale bhi aao ki gulshan ka carvan
to chale.
Compiled By : R. M. Dixit