yani father's day se related nazam??
Jaisa ke app sub ko pata hai ke hum Father`s Months mana rahe hian tu maine socha ku na yaha hum Poem`s share karain ...jo News paper wagera main bhi ate hian ABu k liyetu yaha wo share karne hain
![]()
Rules:
1-Ek member ek hi Poem share kar sakta hai
2-Edit ki huwi post accept nahi ki jaye gi
3-Poems share karne ki last date 21 March 10 hai.
yani father's day se related nazam??
Abu per jo nazmain nahi ati bachon ke Akhbar wagera main
choti choti masoom si nazmian bachon ne he likhi hoti hian.
zaburdast Haya![]()
Apni banhoon ka jhoola jhoolaya mujhko
Apni chahat ka markaz banaya mujhko
Apney kandhay say laga ka sulaya mujhko
Apnay saath har niwala khilaya mujhko
Raat gaye ice cream ley kar aana
Umi say chori film ka plan banana
Kabhi taash or kabhi carem khilana
Bachon kay saath bacha ban jana
Na kabhi rokna na kabhi jhirakna
Meri shikayat sun kar unsuni karna
Piyar say sab ko bulana
piyar say her baat samjhana
ik din piya des bhej diya mujhko
apni ladli soonp di kisi ko
intizaar mera har roz rehta aap ko
ik din ka nagha khatkta aap ko
eid kay din intizaar mein baithay rehna
jald aana phone par yahi kehna
meray baitay ko dekh khil uthna
mera bachpan us mein dhoondna
apni takleef mein hont see laina
apna dukh kisi say na kehna
jatey hoi halka sa muskarana
phir hamesha kay liye chor jana
apnay piyaroon ka saath choootjata hai
unki kami koi na pori kar pata hai
zindagi mein ik khala reh jata hai
aab koi na itne piyar se bulata hai
yeh Hijab ki tarf say...
Dil se har gham ko mitati hain duaayen baap ki
Phool khushion ke khilati hain duaayen baap ki
Dhoond hi paati nahin koii museebat ya bala
Aise daaman mein chhupati hain duaayen baap ki
Neend raton ki ura leti hai jab fikr - e - jahan
Thapkian dekar sulaati hain duaayen baap ki
Gham ke suraj ki tapish hoti hai jab hud se siwa
Abr ban kar sar pe chhati hain duaayen baap ki
Gumrahi ke jab andheron mein ghire hote hain hum
Raasta hum ko dikhaati hain duaayen baap ki
Sirf duniya mein hi yeh karti nahin hain sarfaraz
Hashr mein bhi kaam aati hain duaayen baap ki
Un se barhkar ae saba koii nahin hai budnaseeb
Jinke hisse mein na aati hain duaayen baap ki
poem by Ateeq hasan Saba
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
Sadaf ki tarf say....
PAPA
"Aaj Main Ne Aik Aur Manzil"
"Aik Aur Rastay Par Qadam Rakh Deya Hai"
"Aik aur Qilla Samjho fatah Kar Leya Hai"
"Aap k Sapnay Tabeeroon Main Badlnay k Leya"
"Aik Aur Sirhi Ko Paar Kar Leya Hai"
"Mager!"
"Mager PAPA
"Iss dafa Kise Ne Bhi"
"Yahan mathay Per Bosa nahin Deya"
"Na Hi Kise Ne Kaha k"
"Meri Umeed Ho Tum"
"Aik Dafa "
"Ajao PAPA
"Mathay Per Bare Jalan Se Hai"
"Apnay Naram MAseeha Hont Rakh Kar Yah Kah Do"
"MERI UMEED HO TUM"
Poem by Rooma Haris
Last edited by ~*Rano*~; 08-03-2010 at 10:34 PM.
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....