Fiza Main Jaisay koi Khushboon Ka Raqs Jaga hai
Sunehri titliyan phir se ghulaboon ke laboon ko choo ke aien hain
Darkhatoon ki khuli bahoon main saye baat kerte hain
Udassi Ashk Ankhoon main liye ab door nikli
Usi Dhaltay hoye din ki mandeeroon per
Chiragh-e-Shaam jalta hai
To Dast-e-Mehrbaan Jaisay
mere Anchal ke konay se, Wafa ka ik lamha bandh deta hai
mere suhn-e-huner main Harf-o-Maani ki tilawat Saans leti hai
koi roshan sitara Aasman per muskurata hai
samander geet gata hai
Kamal-e-ehd-eMasti hai
Jahan per mousam-e-jaan bhi buhat heran lagta hai
koi chehra mere dil ke badan se Aan lagta hai
yehi chupke se kehta hai
Mujhe tum se Muhabbat hai