
Ab Waqt agaya hai Polling ka
iss bar compition mein 12 loggon nya partipate kiya hai
bohat acha laga itnya logoon nya particpate ker kiya iss compition ko khubsourat banya

1: Eik member eik hi vote cast kr skta hai
2: Apni sharing ko vote cast nahi kr skte
3: Polling ki last date 28 Aprilhai.
naz
insh
yadoon k sab rang orh kar tanha hoon
Apni basti se door aa kar tanha hoon
koe nahee hai mare jesa charoon taraf
Apnay gird aik bheer saja kar tanha hoon
jitnay log hain utne he awazain hain
lehjo ka tufan utha kar tanha hoon
Roshneyo k aadi kaise jane gay
Ankho main do deep jala kar tanha hoon
Apne aap ko kho dane ki khwahish main
Uska bhee ik naam bhula kar tanha hoon
zindagi
Aj barson bad
aik adhori nazm mukammal karna chahi thi
jis ka unwan tha meri zindagi
aur aj phir
pahlay ki tarah
meray alfaaaz kho gay
bohat himmat juta kar
jo alfaaz dhoonday to yah inkashaaf huwa
k meray alfaaz apnay maani kho chukay hain
meray ehsaasat apni rawani kho chukay hain
yani tb say aj tak
is nazm ki tarah
meri zindagi bhi ADHOORI ha
paras
kya mila muhabbat se?
Khawab ki musafat se
wasel ki tamazat se
roz-o-shab riazat se
kya mila muhabbat se?
Aik hijar ka sehra
aik shaam yadoon ki
aik thaka hua ansoo........!
Kya mila muhabbat se?
Kya mila muhabbat se?
shaan
درد-لازوال
یہ کیا کہ اک جہاں کو کرو وَقف-اضطراب
یہ کیا کہ اک دل کو شکیبا نہ کر سکو
ایسا نہ ہو یہ درد بنے درد-لازوال
ایسا نہ ہو کہ تم بھی مداوا نہ کر سکو
شاید تمہیں بھی چین نہ آئے میرے بغیر
شاید یہ بات تم بھی گوارہ نہ کر سکو
کیا جانے پھر ستم بھی مَیسر ہو نہ ہو
کیا جانے یہ کرم بھی کرو یا نہ کر سکو
الله کرے جہاں کو میری یاد بھول جائے
الله کرے کہ تم کبھی ایسا نہ کر سکو
میرے سِوا کسی کی نہ ہو تم کو جُستجو
میرے سِوا کسی کی تمنّا نہ کر سکو
صوفی غلام مصطفیٰ تبّسم
seven tiles
Jitni duain ati thi
Sub mang li hum nay
Jitnay wazifay yad thay saray
Kar baithay han
Kai tarhan say ji dakha hay
Kai tarhan say mar baithay han
Laken jana!
Ksi bhi surat
Tum meray ho kar nahi datay
loving irfan
Zindagi yoon hwii basar tanhaa
Qaafila saath aur safar tanhaa
Apne saaye se chaunk jaate hain
Um'r guzri hai is qadar tanhaa
Raat bhar bolte hain sannaate
Raat kaate koi kidhar tanhaa
Din guzarta nahi hai logon mai
Raat hoti nahi basar tanhaa
Hum ne darwaaze tak to daika tha
Phir na jaane gaye kidhar tanhaa..
Mishaal
Lamha lamha zawaal hoga
Dard sehna mahaal hoga
Laut aatay hain janay walay
Kham tera khayal hoga
Ab k toota hai maan aisay
Phir na jaisay bahaal hoga
Ab bhi badlay hain sirf hindsay
Pehlay jaisa hi saal hoga
Haal-e-dil matkisi se kehna
Baad main phir malaal hoga
Mar hi jaayein ge hijr main hum
Jee liya tu kamala hoga
Aaj farqat hai aik haqeeqat
Roz muhassir wasaal hoga
S_K_Princess
Kitni Majburiyan Hum Palkon Pe Saja Letay Hain,
Hum Kahan Rotay Hain Halat Rula Detay Hain,
Yaad Rehtay Hain Buray Waqt K Sath Kissi Ko,
Subha Hotay Hi Shama Bujha Detay Hain,
Sath Hotay Hain Toh Lagta Hai K Sadiyon Ka Sath Hai,
Door Hotay Hain Toh Faqat Do Din Mein Bhula Detay hain....!!!!
hijab
"Yeh hum tasleem kertay hein,
"Tumhein fursat nahi milti,
"Hamare wastay tum ko,
"Koi sa-at nahi milti,
"Hamari souch ke mehwar,
"Kabhi ik pal tou soucho tum,
"Tumhein hum yaad kertay hein,
"Aur itna yaad kertay hein,
"Ke khud ko bhool jatey hein!"
khushi
wo chale jaate hai hume chhod kar
ye janke bhi ki unke bin hum ji nahi sakte
aankhri saans tak intzaar ka wada hai unse
to mile bine unse mar bhi nahi sakte.......
Rano