mohabbat jeet hoti hai
magar ye haar jati hai
kabhi dill soz kamhon say
kabhi bekaar resmon say
kabhi taqdeer walon say
kabhi majbor qasmon say
kabhi ye khuab hoti hai
kabhi be taab hoti hai
kabhi le daar jati hai
kabhi ye mar jati hai
mohabbat jeet hoti hai
magar ye haar jati hai
kabhi ye khar jaisi hai
kabhi ye phol jaisi hai
kisi ki aankh main humdum
kabhi ye dhool jaisi hai
kabhi ye chand jaisi hai
kabhi ye dhoop deti hai
kisi ko dhool karti hai
kisi ko roop deti hai
kabhi dehleze pe dil ki
sabhi kuch war jati hai
mohabbat jeet hoti hai
magar ye haar jati hai
kabhi masroor karti hai
kabhi ye sog deti hai
kisi ko rog deti hai
kisi ki aakh main humdum
kahaan ik bar jati hai
jahaan tazleel ho iski
wahaan her bar jati hai
kisi ke paaon main reh ker
falak ke par jati hai
mohabbat jeet hoti hai
magar ye haar jati hai
.